ek tassur
ḳhāmoshī hamesha se utnī hī gahrī hai
jitnī ki canvas se māvarā tasvīr
tum aisā nahīñ samajhte kyaa?
āñkheñ jo hameñ dī ga.ī haiñ
kisī anāḌī musavvir ki ghaḌī huī aag ke
shola-e-siyāh ke bil-muqābil
kaafī haiñ nazar-andāz karne ke liye har chiiz ko
jo zāhir hai rañgīnī ke saath
ye aalā darje kī sanjīdgī hai
ek mukammal dimāġh ki fauqul-hāfiza gahrā.ī kā motī
siyāh raḳhshanda aur muhīb!
tasvīr-e-nā-shuda timsāl
kabhī nahīñ Tiktī us aa.ine kī phisalavāñ satah par
jo ḳhud aks hai kisī aur ā.īne meñ
puurī mahārat se
intihā.ī himāqat se
nahīñ, maiñ nahīñ dekh saktā vo ġhair-manqūta nuqta
jo kashf se ariiz hai aur murāqabe se vasī.a!
ab lāzim hai ki tasvīr kiye jaa.eñ
ḳhāmoshī ki tah aag kā bātin aur
muqaddas tanhā.ī!
to kahāñ hai tumhārā barush?
KHamoshi hamesha se utni hi gahri hai
jitni ki canwas se mawara taswir
tum aisa nahin samajhte kya?
aankhen jo hamein di gai hain
kisi anaDi musawwir ki ghaDi hui aag ke
shola-e-siyah ke bil-muqabil
kafi hain nazar-andaz karne ke liye har chiz ko
jo zahir hai rangini ke sath
ye aala darje ki sanjidgi hai
ek mukammal dimagh ki fauqul-hafiza gahrai ka moti
siyah raKHshanda aur muhib!
taswir-e-na-shuda timsal
kabhi nahin Tikti us aaine ki phisalawan satah par
jo KHud aks hai kisi aur aaine mein
puri mahaarat se
intihai himaqat se
nahin, main nahin dekh sakta wo ghair-manquta nuqta
jo kashf se ariz hai aur muraqabe se wasia!
ab lazim hai ki taswir kiye jaen
KHamoshi ki tah aag ka baatin aur
muqaddas tanhai!
to kahan hai tumhaara barush?
- Book : andhi ka rajz (Pg. 108)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.