ek tassur
kā.enāt raqs kar ke thak ga.ī
sab charāġh bujh ga.e
dil kī har ummīd bhī bahak ga.ī
kis tarah koī jiye
valvale ubhar ubhar ke so ga.e
ab koī ḳhushī nahīñ
giit sail-e-zaḳhm-e-dil meñ kho ga.e
ġham meñ dilkashī nahīñ
har karam mire liye machal uThā
ḳhud-sarī ko kyā karūñ
rahmatoñ se ye dimāġh jal uThā
chāñdnī ko kyā karūñ
zikr-e-hādsāt kar rahā huuñ maiñ
shā.erī se kyā ġharaz
zindagī kī baat kar rahā huuñ maiñ
āshiqī se kyā ġharaz
ab mujhe zarūrat-e-karam nahīñ
zahr ko samajh gayā
terā saath chhūTne kā ġham nahīñ
dahr ko samajh gayā
kaenat raqs kar ke thak gai
sab charagh bujh gae
dil ki har ummid bhi bahak gai
kis tarah koi jiye
walwale ubhar ubhar ke so gae
ab koi KHushi nahin
git sail-e-zaKHm-e-dil mein kho gae
gham mein dilkashi nahin
har karam mere liye machal uTha
KHud-sari ko kya karun
rahmaton se ye dimagh jal uTha
chandni ko kya karun
zikr-e-hadsat kar raha hun main
shaeri se kya gharaz
zindagi ki baat kar raha hun main
aashiqi se kya gharaz
ab mujhe zarurat-e-karam nahin
zahr ko samajh gaya
tera sath chhuTne ka gham nahin
dahr ko samajh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.