ek tarana mujahidin-e-filistin ke liye
Interesting Fact
This nazm is very similar to popular Taraanaa 'Ham Dekhenge' in terms of rhyme and metre, however it was written on 15th June 1983, a few years after 'Ham Dekhenge'. Famous Palestinian leader and Noble Prize winner Yasser Arafat and Faiz were friends.
ham jīteñge
haqqā ham ik din jīteñge
bil-āḳhir ik din jīteñge
kyā ḳhauf zī-yalġhār-e-a.adā
hai siina sipar har ġhāzī kā
kyā ḳhauf zī-yūrish-e-jaish-e-qazā
saf-basta haiñ arvāh-u-shshuhadā
Dar kaahe kā
ham jīteñge
haqqā ham ik din jīteñge
qad jā.al-haqqo va zahaqal-bātil
farmūda-e-rabb-e-akbar
hai jannat apne paañv tale
aur sāya-e-rahmat sar par hai
phir kyā Dar hai
ham jīteñge
haqqā ham ik din jīteñge
bil-āḳhir ik din jīteñge
hum jitenge
haqqa hum ek din jitenge
bil-aKHir ek din jitenge
kya KHauf zi-yalghaar-e-ada
hai sina sipar har ghazi ka
kya KHauf zi-yurish-e-jaish-e-qaza
saf-basta hain arwah-u-shshuhada
Dar kahe ka
hum jitenge
haqqa hum ek din jitenge
qad jaal-haqqo wa zahaqal-baatil
farmuda-e-rabb-e-akbar
hai jannat apne panw tale
aur saya-e-rahmat sar par hai
phir kya Dar hai
hum jitenge
haqqa hum ek din jitenge
bil-aKHir ek din jitenge
- Book : Nuskha-haa-e-Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 700)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.