ek taswir-e-rang
maiñ ne jis vaqt tujhe pahle-pahal dekhā thā
tū javānī kā koī ḳhvāb nazar aa.ī thī
husn kā naġhma-e-javed huī thī ma.alūm
ishq kā jazb-e-betāb nazar aa.ī thī
ai tarab-zār javānī kī pareshāñ titlī
tū bhī ik bū-e-giraftār hai ma.alūm na thā
tere jalvaoñ meñ bahāreñ nazar aatī thiiñ mujhe
tū sitam-ḳhūrda-e-idbār hai ma.alūm na thā
tere nāzuk se paroñ par ye zar-o-sīm kā bojh
terī parvāz ko āzād na hone degā
tū ne rāhat kī tamannā meñ jo ġham paalā hai
vo tirī ruuh ko ābād na hone degā
tū ne sarmā.e kī chhāñv meñ panapne ke liye
apne dil apnī mohabbat kā lahū bechā hai
din kī taz.īn-e-fasurda kā asāsa le kar
shoḳh rātoñ kī masarrat kā lahū bechā hai
zaḳhm-ḳhurda haiñ taḳhayyul kī uḌāneñ terī
tere gītoñ meñ tirī ruuh ke ġham palte haiñ
surmagīñ ā.ankhoñ meñ yuuñ hasrateñ lau detī haiñ
jaise vīrān mazāroñ pe diye julte haiñ
is se kyā fā.eda rañgīn libādoñ ke tale
ruuh jaltī rahe ghultī rahe pazhmurda rahe
hoñT hañste hoñ dikhāve ke tabassum ke liye
dil ġham-e-zīst se bojhal rahe āzurda rahe
dil kī taskīñ bhī hai āsā.ish-e-hastī kī dalīl
zindagī sirf zar-o-sīm kā paimāna nahīñ
ziist ehsās bhī hai shauq bhī hai dard bhī hai
sirf anfās kī tartīb kā afsāna nahīñ
umar bhar reñgte rahne se kahīñ behtar hai
ek lamha jo tirī ruuh meñ vus.at bhar de
ek lamha jo tire giit ko shoḳhī de de
ek lamha jo tirī lai meñ masarrat bhar de
main ne jis waqt tujhe pahle-pahal dekha tha
tu jawani ka koi KHwab nazar aai thi
husn ka naghma-e-jawed hui thi malum
ishq ka jazb-e-betab nazar aai thi
ai tarab-zar jawani ki pareshan titli
tu bhi ek bu-e-giraftar hai malum na tha
tere jalwaon mein bahaaren nazar aati thin mujhe
tu sitam-KHurda-e-idbar hai malum na tha
tere nazuk se paron par ye zar-o-sim ka bojh
teri parwaz ko aazad na hone dega
tu ne rahat ki tamanna mein jo gham pala hai
wo teri ruh ko aabaad na hone dega
tu ne sarmae ki chhanw mein panapne ke liye
apne dil apni mohabbat ka lahu becha hai
din ki tazin-e-fasurda ka asasa le kar
shoKH raaton ki masarrat ka lahu becha hai
zaKHm-KHurda hain taKHayyul ki uDanen teri
tere giton mein teri ruh ke gham palte hain
surmagin aaankhon mein yun hasraten lau deti hain
jaise viran mazaron pe diye julte hain
is se kya faeda rangin libaadon ke tale
ruh jalti rahe ghulti rahe pazhmurda rahe
honT hanste hon dikhawe ke tabassum ke liye
dil gham-e-zist se bojhal rahe aazurda rahe
dil ki taskin bhi hai aasaish-e-hasti ki dalil
zindagi sirf zar-o-sim ka paimana nahin
zist ehsas bhi hai shauq bhi hai dard bhi hai
sirf anfas ki tartib ka afsana nahin
umar bhar rengte rahne se kahin behtar hai
ek lamha jo teri ruh mein wusat bhar de
ek lamha jo tere git ko shoKHi de de
ek lamha jo teri lai mein masarrat bhar de
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.