ek taswir
rāh-e-ulfat kī rivāyāt-e-kuhan zinda haiñ
sar-ba-kaf ahl-e-vafā bahr-e-tamāsha guzre
dard kī raat vahī karb kā ehsās vahī
āmad-e-sub.h-e-tamanna kā gumāñ kyā guzre
ḳhauf kaliyoñ kā tabassum bhī churā letā hai
ufuq-e-jabr añdheroñ kā patā detā hai
ek tasvīr jo āvezāñ thī aivānoñ meñ
ḳhuun kā ġhāza male husn-e-sitam ho jaise
paikar-e-tamkanat-o-nāz-o-ġhurūr-e-bātil
dar-e-zindāñ pe tashaddud kā alam ho jaise
ab vo tasvīr kisī gosha-e-aivāñ meñ nahīñ
zikr us but kā kisī bazm-e-shabistān meñ nahīñ
is se pahle bhī ka.ī baar huā hai aisā
phir bhī arbāb-e-havas zahr-e-havas piite haiñ
ādamiyyat kā taqaddus hai pashemāñ in se
dast-e-ta.azīr se zaḳhmoñ ke dahan sete haiñ
vaqt kā silsila-e-shām-o-sahar yaad nahīñ
in ko tārīḳh kā andāz-e-safar yaad nahīñ
rah-e-ulfat ki riwayat-e-kuhan zinda hain
sar-ba-kaf ahl-e-wafa bahr-e-tamasha guzre
dard ki raat wahi karb ka ehsas wahi
aamad-e-subh-e-tamanna ka guman kya guzre
KHauf kaliyon ka tabassum bhi chura leta hai
ufuq-e-jabr andheron ka pata deta hai
ek taswir jo aawezan thi aiwanon mein
KHun ka ghaza male husn-e-sitam ho jaise
paikar-e-tamkanat-o-naz-o-ghurur-e-baatil
dar-e-zindan pe tashaddud ka alam ho jaise
ab wo taswir kisi gosha-e-aiwan mein nahin
zikr us but ka kisi bazm-e-shabistan mein nahin
is se pahle bhi kai bar hua hai aisa
phir bhi arbab-e-hawas zahr-e-hawas pite hain
aadamiyyat ka taqaddus hai pasheman in se
dast-e-tazir se zaKHmon ke dahan sete hain
waqt ka silsila-e-sham-o-sahar yaad nahin
in ko tariKH ka andaz-e-safar yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.