Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tha raja

Nazeer Zaidi

ek tha raja

Nazeer Zaidi

MORE BYNazeer Zaidi

    purāne zamāne meñ thā ek raaja

    ye raaja thā bigḌā huā ek baajā

    satātā thā sab ko Darātā thā sab ko

    vo ġhusse meñ ghūñse dikhātā thā sab ko

    yūñhī aate jātoñ se takrār kartā

    havā par bhī talvār se vaar kartā

    suno ab maze sunā.eñ kahānī

    chhaparkhaT pe baiThī thī raaja raanī

    ki itne meñ ik nannhī munnī chiḌiyā

    liye choñch meñ ek chhoTā tinkā

    vo uḌtī huī aa.ī kamre ke andar

    aur aa baiThī raanī ke bilkul barābar

    ye dekhā to raaja ne tyorī chaḌhā.ī

    uThā aur ġhusse meñ taalī bajā.ī

    diyā hukm faujoñ sālār aa.e

    police aa ke chiḌiyā pe golī chalā.e

    na bach kar kahīñ jaane paa.e ye chiḌiyā

    sazā bhuul apnī paa.e ye chiḌiyā

    usī vaqt faujoñ sālār aayā

    parā aa ke faujoñ us ne jamāyā

    police le ke talvār aur tiir aa.ī

    huī nannhī chiḌiyā pe puurī chaḌhā.ī

    magar nannhī chiḌiyā thī himmat aalī

    diyā us ne dushman har vaar ḳhālī

    aTārī pe baiThī uḌ kar vahāñ se

    na roke rukī tiir se aur kamāñ se

    vahāñ ke nannhī gardan ghumā.ī

    hañsī goyā raaja us ne uḌaa.ī

    ye dekhā to chillāyā ġhusse meñ raaja

    bajā ḳhuub bigḌā huā aaj baajā

    purane zamane mein tha ek raja

    ye raja tha bigDa hua ek baja

    satata tha sab ko Daraata tha sab ko

    wo ghusse mein ghunse dikhata tha sab ko

    yunhi aate jaton se takrar karta

    hawa par bhi talwar se war karta

    suno ab maze ki sunaen kahani

    chhaparkhaT pe baiThi thi raja ki rani

    ki itne mein ek nannhi munni si chiDiya

    liye chonch mein ek chhoTa sa tinka

    wo uDti hui aai kamre ke andar

    aur aa baiThi rani ke bilkul barabar

    ye dekha to raja ne tyori chaDhai

    uTha aur ghusse mein tali bajai

    diya hukm faujon ka salar aae

    police aa ke chiDiya pe goli chalae

    na bach kar kahin jaane pae ye chiDiya

    saza bhul ki apni pae ye chiDiya

    usi waqt faujon ka salar aaya

    para aa ke faujon ka us ne jamaya

    police le ke talwar aur tir aai

    hui nannhi chiDiya pe puri chaDhai

    magar nannhi chiDiya thi himmat ki aali

    diya us ne dushman ka har war KHali

    aTari pe ja baiThi uD kar wahan se

    na roke ruki tir se aur kaman se

    wahan ja ke nannhi si gardan ghumai

    hansi goya raja ki us ne uDai

    ye dekha to chillaya ghusse mein raja

    baja KHub bigDa hua aaj baja

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now