ek ThanDi os mein lipTi nazar ki raushni hai
ek ThanDī os meñ lipTī nazar kī raushnī hai
aur laboñ par guzre vaqtoñ kī purānī chāshnī hai
aur maiñ huuñ
falsafa rachne kī dhun meñ bistar par silvaTeñ haiñ
adh-khulī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī dhaḌaktī karvaTeñ haiñ
aur maiñ huuñ
ḳhushbuoñ se tar havā meñ koī bojhal shaam Dhaltī
rañg saare ho ga.e bad-rañg phir bhī saañs chaltī
aur maiñ huuñ
tum nahīñ ho aur tumhārī yaad ke saa.e bhī ġhā.eb
bhūlte jaate haiñ chāhat ke mohabbat ke sabhī Dhab
ek an-suljhī pahelī zindagī bhar kī tapasyā
aur maiñ huuñ sirf maiñ huuñ
ek ThanDi os mein lipTi nazar ki raushni hai
aur labon par guzre waqton ki purani chashni hai
aur main hun
falsafa rachne ki dhun mein bistar par silwaTen hain
adh-khuli aankhon mein KHwabon ki dhaDakti karwaTen hain
aur main hun
KHushbuon se tar hawa mein koi bojhal sham Dhalti
rang sare ho gae bad-rang phir bhi sans chalti
aur main hun
tum nahin ho aur tumhaari yaad ke sae bhi ghaeb
bhulte jate hain chahat ke mohabbat ke sabhi Dhab
ek an-suljhi paheli zindagi bhar ki tapasya
aur main hun sirf main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.