ek tilismi khel
kaise kaise naam likhe the
vaqt ne māh-o-sāl ke ruḳh par
tūfānoñ ne paalā maarā
saare ho ga.e tittar-bittar
saiqal kar ke rakhnā chāhā
ham ne kuchh nāmoñ ko bachā kar
umr kī maujeñ bahā le ga.iiñ
saare la.al aur saare javāhir
tarz-e-ḳhirām ke phuul khile the
aatī jaatī rāhguzar par
aaj hai sirf ġhubār kā parda
kaisī manzil kaisā manzar
dhajjī dhajjī bikhar rahī hai
tanī huī ehsās kī chādar
kuchh harfoñ kī maddham sī lau
kaañp rahī hai laraz laraz kar
ḳhushbū apnī kho baiThā hai
sab sheroñ kā mushk aur ambar
sūrat apnī badal chuke haiñ
ahd aqīde masjid mimbar
kaise ḳhālī haath khaḌe haiñ
shaah vazīr amiir gadāgar
ujḌī ḳhvāb-o-ḳhayāl kī duniyā
apne gharoñ meñ sab haiñ be-ghar
kyūñ-kar joḌeñ apne TukḌe
haar ga.e haiñ saare rafūgar
ḳhūnī bādal gahre gahre
chhaTe nahīñ haiñ baras baras kar
aur zamīneñ āñkheñ mūñde
mast huī haiñ lahū pī pī kar
ek tilismī khel rachā hai
jaane kaun hai ye jādūgar
kaise kaise nam likhe the
waqt ne mah-o-sal ke ruKH par
tufanon ne pala mara
sare ho gae tittar-bittar
saiqal kar ke rakhna chaha
hum ne kuchh namon ko bacha kar
umr ki maujen baha le gain
sare lal aur sare jawahir
tarz-e-KHiram ke phul khile the
aati jati rahguzar par
aaj hai sirf ghubar ka parda
kaisi manzil kaisa manzar
dhajji dhajji bikhar rahi hai
tani hui ehsas ki chadar
kuchh harfon ki maddham si lau
kanp rahi hai laraz laraz kar
KHushbu apni kho baiTha hai
sab sheron ka mushk aur ambar
surat apni badal chuke hain
ahd aqide masjid mimbar
kaise KHali hath khaDe hain
shah wazir amir gadagar
ujDi KHwab-o-KHayal ki duniya
apne gharon mein sab hain be-ghar
kyun-kar joDen apne TukDe
haar gae hain sare rafugar
KHuni baadal gahre gahre
chhaTe nahin hain baras baras kar
aur zaminen aankhen munde
mast hui hain lahu pi pi kar
ek tilismi khel racha hai
jaane kaun hai ye jadugar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.