ek titli uDi
ek titlī uḌī
gulsitāñ ko chalī
Daalī Daalī baḌhī
ġhuncha ġhuncha phirī
us kī ik phuul se
dostī ho ga.ī
ḳhush-navā sab parinde chahakne lage
ḳhaar tak ḳhush-dilī se mahakne lage
phuul ne jaḌ kī mehnat kā ras
ḳhud nichhāvar kiyā
aur titlī mohabbat ke rañgīn pal
chhoḌ kar uḌ ga.ī
phir na titlī milī
aur na gul khil sakā
buuTe būToñ tule aa ga.e
aur phir gulsitāñ chhāvnī ban gayā
ek titli uDi
gulsitan ko chali
Dali Dali baDhi
ghuncha ghuncha phiri
us ki ek phul se
dosti ho gai
KHush-nawa sab parinde chahakne lage
KHar tak KHush-dili se mahakne lage
phul ne jaD ki mehnat ka ras
KHud nichhawar kiya
aur titli mohabbat ke rangin pal
chhoD kar uD gai
phir na titli mili
aur na gul khil saka
buTe buTon tule aa gae
aur phir gulsitan chhawni ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.