ek udas nazm
ek udaas nazm
mujh se kafan māñgtī hai
vo mazīd jiinā nahīñ chāhtī
maiñ use bahut samjhātā huuñ
vo zid karne lagtī hai
maiñ kafan ḳharīdne ke liye
ghar se nikal paḌtā huuñ
koī bhī apnī nazm ko
āñkhoñ ke sāmne
marte hue nahīñ dekh saktā
maiñ kafan nahīñ ḳharīdtā
ḳhud ko maar Dāltā huuñ
nazm kafan ke baġhair
apne-āp ko nahīñ māregī
vo merā intizār karegī
intizār kisī ko bhī
zinda rakh saktā hai
ek udas nazm
mujh se kafan mangti hai
wo mazid jina nahin chahti
main use bahut samjhata hun
wo zid karne lagti hai
main kafan KHaridne ke liye
ghar se nikal paDta hun
koi bhi apni nazm ko
aankhon ke samne
marte hue nahin dekh sakta
main kafan nahin KHaridta
KHud ko mar Dalta hun
nazm kafan ke baghair
apne-ap ko nahin maregi
wo mera intizar karegi
intizar kisi ko bhi
zinda rakh sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.