ek umr hoti hai
ek umr hotī hai
jis meñ koī laḌkā ho
yā vo koī laḌkī ho
sochte haiñ donoñ hī
ham hī harf-e-avval haiñ
is jahān-e-kohna ko
apnī fikr-e-nau se ham
ik lagan kī lau se ham
jis tarah kā chāheñge
vaisā hī banā leñge
pattharoñ ko mar-mar ke
paikaroñ meñ Dhāleñge
ek umr hotī hai
jis meñ koī laḌkā ho
yā koī laḌkī ho
sochte haiñ donoñ hī
kitne azm the apne
nazr-e-ḳhāk haiñ saare
baat dāmanoñ kī kyā
chaak chaak dil bhī haiñ
ham ki harf-e-avval the
harf-e-āḳhirīñ bhī nahīñ
ham ki āsmāñ se the
zarra-e-zamīñ bhī nahīñ
ek umr hotī hai
ḳhvāhishoñ kī jazboñ kī
ek umr hotī hai
kāhishoñ kī sadmoñ kī
ek umr hoti hai
jis mein koi laDka ho
ya wo koi laDki ho
sochte hain donon hi
hum hi harf-e-awwal hain
is jahan-e-kohna ko
apni fikr-e-nau se hum
ek lagan ki lau se hum
jis tarah ka chahenge
waisa hi bana lenge
pattharon ko mar-mar ke
paikaron mein Dhaalenge
ek umr hoti hai
jis mein koi laDka ho
ya koi laDki ho
sochte hain donon hi
kitne azm the apne
nazr-e-KHak hain sare
baat damanon ki kya
chaak chaak dil bhi hain
hum ki harf-e-awwal the
harf-e-aKHirin bhi nahin
hum ki aasman se the
zarra-e-zamin bhi nahin
ek umr hoti hai
KHwahishon ki jazbon ki
ek umr hoti hai
kahishon ki sadmon ki
- Book : Pakistani Adab (Pg. 85)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.