ek wajudi dost ke nam
tum ne jitne bhī badle the apne aap se aur phir apne jaisoñ se
ik ik kar ke puure dil se chukā bhī liye haiñ
apne aap se guttham-gutthā hone meñ hī sab jañgoñ kī lazzat hai
lazzat, jis kā shāyad kuchh bhī ḳharch nahīñ hai
aur ye jañg ki jis meñ kuchh aisī nazmoñ kā māl-e-ġhanīmat mil jaatā hai
jis par achchhī-ḳhāsī umr guzar jaatī hai
lekin masnūī dardoñ se kuchh nahīñ hotā
pyāre dost
ḳhilqat terī napī-tulī bātoñ ke ūñche darvāzoñ meñ
ramz bharī gambhīr aur gahrī āvāzoñ meñ
ek na.e aadam ke janm kī ḳhātir
terī nazmoñ aur aqīdoñ ke bistar ke tavāf meñ hai
lekin tere sab jazboñ kī shiddat
ik biyāh ke be-rañg lihāf meñ hai
tū jo zard kitāboñ ke jaise par jaane kab se
kaise kaise āsanoñ meñ
jhūTī shahvat ke va.ade meñ leTā hai
apne she.arī hizyānoñ ke ilhāmoñ meñ haklātā hai
na.e janam ke bashārat ke is bāvle ġhash meñ
go na.e ḳhvāboñ kī rānoñ meñ niglātā hai
tum ne jitne bhi badle the apne aap se aur phir apne jaison se
ek ek kar ke pure dil se chuka bhi liye hain
apne aap se guttham-guttha hone mein hi sab jangon ki lazzat hai
lazzat, jis ka shayad kuchh bhi KHarch nahin hai
aur ye jang ki jis mein kuchh aisi nazmon ka mal-e-ghanimat mil jata hai
jis par achchhi-KHasi umr guzar jati hai
lekin masnui dardon se kuchh nahin hota
pyare dost
KHilqat teri napi-tuli baaton ke unche darwazon mein
ramz bhari gambhir aur gahri aawazon mein
ek nae aadam ke janm ki KHatir
teri nazmon aur aqidon ke bistar ke tawaf mein hai
lekin tere sab jazbon ki shiddat
ek biyah ke be-rang lihaf mein hai
tu jo zard kitabon ke jaise par jaane kab se
kaise kaise aasanon mein
jhuTi shahwat ke wade mein leTa hai
apne sheari hizyanon ke ilhamon mein haklata hai
nae janam ke bashaarat ke is bawle ghash mein
go nae KHwabon ki ranon mein niglata hai
- Book : siip-volume-35 (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.