donoñ hāthoñ meñ nañgī talvāreñ saunt kar
maiñ añdhere par TuuT paḌā
use TukḌe TukḌe kar denā chāhā
lekin us ne merā har vaar ḳhālī kar diyā
maiñ ne haath meñ bandūq uThā lī
aur us par dīvāna-vār goliyāñ barsāne lagā
sochā thaa, us kā jism chhalnī kar Dālūñgā
lekin us meñ ek bhī surāḳh na kar sakā
phir maiñ ne mish.al uThā lī
aur ek zabar-dast irāda liye aage baḌhā
chāhā thā us kā chehra jhulas dūñgā
aur use zinda jalā kar raakh kar dūñgā
mujhe yuuñ biphrā huā dekh
añdherā sahm kar pīchhe haT gayā
lekin dūsre hī lamhe
us ne zor se phūñk maar kar, mish.al bujhā dī
phir maiñ ne ek aur mansūba banāyā
chupke chupke ek surañg tayyār kī
lekin mujhe gumān bhī na thā
ki dyna-might ke fiite ko aag dikhāne se pahle
añdherā surañg meñ paanī bhar degā
aaj merī ruḳhsat kā vaqt aa pahuñchā hai
log!
jab koī nau-javān, añdhere ko lalkāre
to tum, use merī misāl na denā
donon hathon mein nangi talwaren saunt kar
main andhere par TuT paDa
use TukDe TukDe kar dena chaha
lekin us ne mera har war KHali kar diya
main ne hath mein banduq uTha li
aur us par diwana-war goliyan barsane laga
socha tha, us ka jism chhalni kar Dalunga
lekin us mein ek bhi suraKH na kar saka
phir main ne mishal uTha li
aur ek zabar-dast irada liye aage baDha
chaha tha us ka chehra jhulas dunga
aur use zinda jala kar rakh kar dunga
mujhe yun biphra hua dekh
andhera sahm kar pichhe haT gaya
lekin dusre hi lamhe
us ne zor se phunk mar kar, mishal bujha di
phir main ne ek aur mansuba banaya
chupke chupke ek surang tayyar ki
lekin mujhe guman bhi na tha
ki dyna-might ke fite ko aag dikhane se pahle
andhera surang mein pani bhar dega
aaj meri ruKHsat ka waqt aa pahuncha hai
log!
jab koi nau-jawan, andhere ko lalkare
to tum, use meri misal na dena
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 202)
- Author : urdu academy
- Publication : ateequllah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.