inhī sūkhe hue maidānoñ meñ
ab jahāñ dhuup kī lahroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
sabz lahrāte hue khet huā karte the
log ābād the peḌoñ kī ghanī chhāñv meñ
mahfileñ jamtī thiiñ afsāne sune jaate the
aaj vīrān makānoñ meñ havā chīḳhtī hai
dhuul meñ uḌte kitāboñ ke varaq
kis kī yādoñ ke varaq kis ke ḳhayāloñ ke varaq
mujh se kahte haiñ ki rah jaao yahīñ
aur maiñ sochtā huuñ sirf añdherā hai yahāñ
phir havā aatī hai dīvānī havā
aur kahtī hai: nahīñ sirf añdherā to nahīñ
yaad haiñ mujh ko vo lamhe jin meñ
log āzād the aur zinda the
aao maiñ tum ko dikhā.ūñ vo maqām.....
ek vīrān jagah īñToñ kā ambār nahīñ kuchh bhī nahīñ
aur vo kahtī hai ye pyaar kā markaz thā kabhī
kis kī yaad aa.e mujhe kis kī batāo kis kii!
aur ab chup hai havā chup hai zamīñ
bol ai vaqt! kahāñ haiñ vo log
jin ko vo yaad haiñ jin kī yādeñ
in havāoñ meñ pareshān haiñ aaj
inhi sukhe hue maidanon mein
ab jahan dhup ki lahron ke siwa kuchh bhi nahin
sabz lahraate hue khet hua karte the
log aabaad the peDon ki ghani chhanw mein
mahfilen jamti thin afsane sune jate the
aaj viran makanon mein hawa chiKHti hai
dhul mein uDte kitabon ke waraq
kis ki yaadon ke waraq kis ke KHayalon ke waraq
mujh se kahte hain ki rah jao yahin
aur main sochta hun sirf andhera hai yahan
phir hawa aati hai diwani hawa
aur kahti hai: nahin sirf andhera to nahin
yaad hain mujh ko wo lamhe jin mein
log aazad the aur zinda the
aao main tum ko dikhaun wo maqam
ek viran jagah inTon ka ambar nahin kuchh bhi nahin
aur wo kahti hai ye pyar ka markaz tha kabhi
kis ki yaad aae mujhe kis ki batao kis ki!
aur ab chup hai hawa chup hai zamin
bol ai waqt! kahan hain wo log
jin ko wo yaad hain jin ki yaaden
in hawaon mein pareshan hain aaj
- Book : tanhaa.ii (Pg. 187)
- Author : zaahid daar
- Publication : sang-e-miil publication (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.