ek yaad ka rauzan
merī yādoñ meñ se ek yaad mujhe
tā-dam-e-marg nahīñ bhūlegī
merī is yaad kā rauzan darīcha hai jis meñ se mujhe
kitne guzre hue pal saaf nazar aate haiñ
kachchī miTTī ko jo taḳhtī pe chalā.ūñ to ye dhartī jaise
apnī ḳhushbū meñ mujhe nahlā.e
raushnā.ī meñ qalam ko jo Duubo duuñ
to mujhe roz-e-azal yaad aa.e
lafz likhūñ sar-e-qirtās
to phūloñ kī qatāreñ lag jaa.eñ
harf ke dā.ere sayyāre se bante jaa.eñ
aur nuqte vo chamakte hue taare
jo kabhī taire haiñ aur kabhī Dūbte haiñ
mere maazī kā ye rauzan mujhe dikhlātā hai har sū ġhunche
vo jo taḳhlīq ke mausam meñ chaTaḳhte haiñ
to har rañg ke dildār mafāhīm ke ambār se lag jaate haiñ
mere maazī kā ye vo rauzan hai
jis meñ jhāñkūñ to vahāñ
jhuTpuTe aur shafaq aur tilismī sī ulūhī sī ḳhamoshī kī fazā taarī hai
aur ik samt añdhere meñ damakte hue chehroñ kī nadī jaarī hai
ye vo manzar hai ki jo
ilm-o-mantiq ke sahīfoñ se ka.ī laakh gunā bhārī hai
meri yaadon mein se ek yaad mujhe
ta-dam-e-marg nahin bhulegi
meri is yaad ka rauzan daricha hai jis mein se mujhe
kitne guzre hue pal saf nazar aate hain
kachchi miTTi ko jo taKHti pe chalaun to ye dharti jaise
apni KHushbu mein mujhe nahlae
raushnai mein qalam ko jo Dubo dun
to mujhe roz-e-azal yaad aae
lafz likhun sar-e-qirtas
to phulon ki qataren lag jaen
harf ke daere sayyare se bante jaen
aur nuqte wo chamakte hue tare
jo kabhi taire hain aur kabhi Dubte hain
mere mazi ka ye rauzan mujhe dikhlata hai har su ghunche
wo jo taKHliq ke mausam mein chaTaKHte hain
to har rang ke dildar mafahim ke ambar se lag jate hain
mere mazi ka ye wo rauzan hai
jis mein jhankun to wahan
jhuTpuTe aur shafaq aur tilismi si uluhi si KHamoshi ki faza tari hai
aur ek samt andhere mein damakte hue chehron ki nadi jari hai
ye wo manzar hai ki jo
ilm-o-mantiq ke sahifon se kai lakh guna bhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.