ek zanjir-e-girya mere sath thi
maiñ gayā us taraf
jis taraf niiñd thī
jis taraf raat thī
band mujh par hue saare dar
saare ghar
maiñ gayā us taraf
jis taraf tiir the
jis taraf ghaat thī
mujh pe markūz thī ik nigāh-e-siyah
aur ajab zāviye se
banā.e hue thī mujhe
sar se pā tak hadaf
maiñ gayā us taraf
jis taraf ret kī lahr thī
mauj-e-zarrāt thī
maiñ nahīñ jāntā
us ghaḌī
tīrgī ke tilismāt meñ
jo ishāra huā
kis kī uñglī kā thā
aur jo kholī ga.ī thī mire qalb par
kaun sī baat thī
sirf itnā mujhe yaad hai
jab maiñ aage baḌhā
ek zanjīr-e-girya mire saath thī
maiñ parinda banā
merī parvāz ke dā.ere ne janā
ek saaya ghanā
kashf hone lagā
maiñ hare pāniyoñ meñ
badan kā sitāra Dubone lagā
aur ik lā-ta.ayyun subuk niiñd sone lagā
ik uḌan-tashtarī ban ga.ī sā.ebāñ
maiñ jahāñ thā vahāñ thā kahāñ āsmāñ
ek sho.ala thā bas mere hoñToñ se laf
maiñ gayā us taraf
jis taraf jism-o-jāñ kī havālāt thī
jis taraf niiñd thī
jis taraf raat thī
chaar jānib bichhī thī bisāt-e-adam
darmiyāñ jis ke
tanhā mirī zaat thī
main gaya us taraf
jis taraf nind thi
jis taraf raat thi
band mujh par hue sare dar
sare ghar
main gaya us taraf
jis taraf tir the
jis taraf ghat thi
mujh pe markuz thi ek nigah-e-siyah
aur ajab zawiye se
banae hue thi mujhe
sar se pa tak hadaf
main gaya us taraf
jis taraf ret ki lahr thi
mauj-e-zarraat thi
main nahin jaanta
us ghaDi
tirgi ke tilismat mein
jo ishaara hua
kis ki ungli ka tha
aur jo kholi gai thi mere qalb par
kaun si baat thi
sirf itna mujhe yaad hai
jab main aage baDha
ek zanjir-e-girya mere sath thi
main parinda bana
meri parwaz ke daere ne jana
ek saya ghana
kashf hone laga
main hare paniyon mein
badan ka sitara Dubone laga
aur ek la-tayyun subuk nind sone laga
ek uDan-tashtari ban gai saeban
main jahan tha wahan tha kahan aasman
ek shoala tha bas mere honTon se laf
main gaya us taraf
jis taraf jism-o-jaan ki hawalat thi
jis taraf nind thi
jis taraf raat thi
chaar jaanib bichhi thi bisat-e-adam
darmiyan jis ke
tanha meri zat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.