ek zaruri nazm
merī nazmoñ ke sāda-lauh qaarī
tumheñ kyā ilm
maiñ barsoñ se
apnī soch ke jangal meñ tum ko
be-sabab bhaTkā rahā huuñ
ba-zāhir tum ko lagtā hai
ki merī saarī nazmeñ
dard ke tārīk jangal meñ tumhārī ham-safar haiñ
magar ye sach nahīñ hai
mirī nazmoñ ke saare lafz kāzib haiñ
mire lahje kā saarā karb jhūTā hai
mirī nazmeñ to
mere zehn-o-dil meñ muntashir be-rabt nā-āsūda
ummīdoñ aur tamannāoñ kā maskan haiñ
mirī nazmeñ to merī bhī nahīñ haiñ
mirī nazmoñ ke sāda-lauh qaarī
tumheñ kyā ilm
meri nazmon ke sada-lauh qari
tumhein kya ilm
main barson se
apni soch ke jangal mein tum ko
be-sabab bhaTka raha hun
ba-zahir tum ko lagta hai
ki meri sari nazmen
dard ke tarik jangal mein tumhaari ham-safar hain
magar ye sach nahin hai
meri nazmon ke sare lafz kazib hain
mere lahje ka sara karb jhuTa hai
meri nazmen to
mere zehn-o-dil mein muntashir be-rabt na-asuda
ummidon aur tamannaon ka maskan hain
meri nazmen to meri bhi nahin hain
meri nazmon ke sada-lauh qari
tumhein kya ilm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.