ek zindagi aur mil jae
agar mujhe ek zindagī
aur mil jaa.e
to maiñ apne safar ko
apne asbāb ke saath
bāñdh kar rakhkhūñ
ek parinde kī tarah
pāniyoñ se Takrātī huī
aañkh se ojhal ho jā.ūñ
ek aise daraḳht kī tarah
jo saarī umr
dhuup aur chhāñv kā mazā letā hai
ek aise banjāre kī tarah
jo pahāḌoñ aur maidānoñ ko
apne qadmoñ kī dhuul meñ
sameT letā hai
kisī aisī raqqāsa kī tarah
jo apne man kā bojh
apne jism par Daal detī hai
kisī aisī jañg meñ sharīk ho kar
jo bhuuk aur nafrat ke ḳhilāf
laḌī jā rahī ho
maarī jā.ūñ
agar mujhe ek zindagi
aur mil jae
to main apne safar ko
apne asbab ke sath
bandh kar rakhkhun
ek parinde ki tarah
paniyon se Takraati hui
aankh se ojhal ho jaun
ek aise daraKHt ki tarah
jo sari umr
dhup aur chhanw ka maza leta hai
ek aise banjare ki tarah
jo pahaDon aur maidanon ko
apne qadmon ki dhul mein
sameT leta hai
kisi aisi raqqasa ki tarah
jo apne man ka bojh
apne jism par Dal deti hai
kisi aisi jang mein sharik ho kar
jo bhuk aur nafrat ke KHilaf
laDi ja rahi ho
mari jaun
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 72)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.