TukDon mein baTi hui zindagi
pahle ham zindagī ko TukḌoñ meñ
taqsīm karte haiñ
aur phir
in TukḌoñ ko rakh kar
bhuul jaate haiñ
ye bhuul hamāre jism ko
ek jaal meñ lapeT letī hai
kaun sā TukḌā
kahāñ rakhā thā
jis kī zarūrat paḌtī hai
vaqt par vo nahīñ miltā
ham saarī zindagī
zarūrat ke vaqt
apnī zindagī ke TukḌe
talāsh karte rahte haiñ
lekin
be-tartībī aur bhūl-bhulayyāñ
jaarī rahtī haiñ
zindagī guzar jaatī hai
aur guzar jaane ke ba.ad
TukḌe aapas meñ mil jaate haiñ
yā koī dūsrā unheñ jam.a kar letā hai
pahle hum zindagi ko TukDon mein
taqsim karte hain
aur phir
in TukDon ko rakh kar
bhul jate hain
ye bhul hamare jism ko
ek jal mein lapeT leti hai
kaun sa TukDa
kahan rakha tha
jis ki zarurat paDti hai
waqt par wo nahin milta
hum sari zindagi
zarurat ke waqt
apni zindagi ke TukDe
talash karte rahte hain
lekin
be-tartibi aur bhul-bhulayyan
jari rahti hain
zindagi guzar jati hai
aur guzar jaane ke baad
TukDe aapas mein mil jate hain
ya koi dusra unhen jama kar leta hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 74)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.