ekta ki misal
chhoTī ne totā paalā thā
baḌī bahan ne billī
billī ko ghī kam bhātā thā
aur tote ko tillī
dillī meñ hai sab kahte haiñ
donoñ kī sasurāl
aao bachcho chal kar dekheñ
ham un ke ahvāl
tum samjhe the donoñ bahneñ
phūñktī hoñgī chūlhā
lekin vo to appū-ghar meñ
jhuul rahī haiñ jhūlā
naach rahī hai kaalī billī
us ke sar par totā
soch rahī hai saarī dillī
ekā sab meñ hotā
chhoTi ne tota pala tha
baDi bahan ne billi
billi ko ghi kam bhata tha
aur tote ko tilli
dilli mein hai sab kahte hain
donon ki sasural
aao bachcho chal kar dekhen
hum un ke ahwal
tum samjhe the donon bahnen
phunkti hongi chulha
lekin wo to appu-ghar mein
jhul rahi hain jhula
nach rahi hai kali billi
us ke sar par tota
soch rahi hai sari dilli
eka sab mein hota
- Book : kamaan(sheri kulliyat (jild avval) (Pg. 440)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.