suno aaj ye shā'ir-e-haq-navā
batātā hai kyā chiiz hai ektā
hai darmān-e-dard-e-vatan ektā
jamāl-e-bahār-e-chaman ektā
hai ye quvvat-e-dast-o-bāzū-e-qaum
hai ye ġhāza-e-rū-e-zebā-e-qaum
ye ‘uqda-kushā-e-hayāt-e-bashar
ye zulmat meñ paiġhām-e-nūr-e-sahar
ye har diin har dharm kī jaan hai
ye insāniyat kī nigahbān hai
jagātī hai har dam na.e valvale
baḌhātī hai insān ke hausle
masā.ib ke sho'le bujhātī hai ye
masarrat ke ġhunche khilātī hai ye
chhuḌātī hai ye dām-e-āzār se
bachātī hai kashtī ko mañjdhār se
barastī hai rahmat kī ban kar ghaTā
ye kartī hai qaumoñ ko tāqat 'atā
bayābāñ ko kartī hai ye lāla-zār
isī par taraqqī kā dār-o-madār
nahīñ hai guzar ektā kā jahāñ
vahāñ hai sukūñ aur na amn-o-amāñ
taraqqī na ārām-o-rāhat vahāñ
na san'at na hirfat na daulat vahāñ
batātī hai tārīḳh ham ko ye baat
ki aa.ī hai jab bhī tabāhī kī raat
vatan par kabhī jab musībat paḌī
thā is kā sabab ektā kī kamī
yahāñ jab farangī ne rakkhā qadam
to aapas meñ us vaqt laḌte the ham
na thā bhā.ī-chāra na thī ektā
jahālat meñ ham log the mubtalā
agar ek hote na luTtā chaman
na mahkūm hotā hamārā vatan
magar aaj bhī haiñ kuchh aise sharīr
haiñ dil jin ke tārīk murda zamīr
nahīñ chāhte haiñ jo amn-o-amāñ
tule haiñ jagāne pe fitne yahāñ
sunāte haiñ firqa-parastī kā raag
jalāte haiñ sīnoñ meñ nafrat kī aag
haiñ ye shar-pasand aur taḳhrīb-kār
hai ḳhatre meñ un se vatan kā vaqār
ye hai farz apnā ki un se bacheñ
na kuchh un kī bātoñ pe ham dhyān deñ
raheñ mil ke hindū musalmāñ sadā
diloñ meñ jagā.eñ ḳhulūs-o-vafā
ta'assub kī ātish bhaḌakne na deñ
'adāvat ke ḳhanjar chamakne na deñ
miTā deñ har ik naqsh-e-buġhz-o-'inād
zabānoñ pe ho nā'ra-e-ittihād
ye josh-o-ḳharosh-o-ba-'azm-e-javāñ
uTheñ bahr-e-tā'mīr-e-hindostāñ
qadam ko qadam se milāte hue
uḳhuvvat kā parcham uḌāte hue
vatan kī taraqqī kā sāmāñ kareñ
ḳhas-o-ḳhār ko bhī gulistāñ kareñ
suno aaj ye sha'ir-e-haq-nawa
batata hai kya chiz hai ekta
hai darman-e-dard-e-watan ekta
jamal-e-bahaar-e-chaman ekta
hai ye quwwat-e-dast-o-bazu-e-qaum
hai ye ghaza-e-ru-e-zeba-e-qaum
ye ‘uqda-kusha-e-hayat-e-bashar
ye zulmat mein paigham-e-nur-e-sahar
ye har din har dharm ki jaan hai
ye insaniyat ki nigahban hai
jagati hai har dam nae walwale
baDhati hai insan ke hausle
masaib ke sho'le bujhati hai ye
masarrat ke ghunche khilati hai ye
chhuDati hai ye dam-e-azar se
bachati hai kashti ko manjdhaar se
barasti hai rahmat ki ban kar ghaTa
ye karti hai qaumon ko taqat 'ata
bayaban ko karti hai ye lala-zar
isi par taraqqi ka dar-o-madar
nahin hai guzar ekta ka jahan
wahan hai sukun aur na amn-o-aman
taraqqi na aaram-o-rahat wahan
na san'at na hirfat na daulat wahan
batati hai tariKH hum ko ye baat
ki aai hai jab bhi tabahi ki raat
watan par kabhi jab musibat paDi
tha is ka sabab ekta ki kami
yahan jab farangi ne rakkha qadam
to aapas mein us waqt laDte the hum
na tha bhai-chaara na thi ekta
jahaalat mein hum log the mubtala
agar ek hote na luTta chaman
na mahkum hota hamara watan
magar aaj bhi hain kuchh aise sharir
hain dil jin ke tarik murda zamir
nahin chahte hain jo amn-o-aman
tule hain jagane pe fitne yahan
sunate hain firqa-parasti ka rag
jalate hain sinon mein nafrat ki aag
hain ye shar-pasand aur taKHrib-kar
hai KHatre mein un se watan ka waqar
ye hai farz apna ki un se bachen
na kuchh un ki baaton pe hum dhyan den
rahen mil ke hindu musalman sada
dilon mein jagaen KHulus-o-wafa
ta'assub ki aatish bhaDakne na den
'adawat ke KHanjar chamakne na den
miTa den har ek naqsh-e-bughz-o-'inad
zabanon pe ho na'ra-e-ittihad
ye josh-o-KHarosh-o-ba-'azm-e-jawan
uThen bahr-e-ta'mir-e-hindostan
qadam ko qadam se milate hue
uKHuwwat ka parcham uDate hue
watan ki taraqqi ka saman karen
KHas-o-KHar ko bhi gulistan karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.