ektare wala banjara
ruḳhsat
ai havā-e-yaḳh-basta
phāgun kī havā gaatī aa.ī
par khol ke jaagī añgḌā.ī
bāġhoñ meñ aam kī shāḳhoñ par
phir man lalchāte baur lage
bachpan ko sharārat phir sūjhī
sardī se ThiThurī gaThḌī sī
kambaḳht ḳhatā.eñ phir sankīñ
koyal minqār meñ kuuk liye
ḳhushbū kī jasāmat DhūñD rahī
pāgal-pan kī tasvīr huī
phir man jañgal meñ
mor ne raqs ko dāvat dī
sukḌī simTī shiryānoñ meñ
phir maujeñ hiloreñ lene lagīñ
phir lams-e-havā ne dahkā.ī
miTTī meñ numū kī chiñgārī
lekin jānāñ
ye hariyālī
kyoñ gaañv se shahar nahīñ aatī
man galiyāre meñ nahīñ gaatā
ektāre vaalā banjārā
ruKHsat
ai hawa-e-yaKH-basta
phagun ki hawa gati aai
par khol ke jagi angDai
baghon mein aam ki shaKHon par
phir man lalchate baur lage
bachpan ko shararat phir sujhi
sardi se ThiThuri gaThDi si
kambaKHt KHataen phir sankin
koyal minqar mein kuk liye
KHushbu ki jasamat DhunD rahi
pagal-pan ki taswir hui
phir man jangal mein
mor ne raqs ko dawat di
sukDi simTi shiryanon mein
phir maujen hiloren lene lagin
phir lams-e-hawa ne dahkai
miTTi mein numu ki chingari
lekin jaanan
ye hariyali
kyon ganw se shahar nahin aati
man galiyare mein nahin gata
ektare wala banjara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.