elan nama
maiñ laakh buzdil sahī magar maiñ usī qabīle kā aadmī huuñ ki jis ke beToñ ne
jo kahā us pe jaan de dī
maiñ jāntā thā mire qabīle kī ḳhema-gāheñ jalā.ī jā.eñgī aur tamāshā.ī
raqs-e-sho.ala-fishāñ par isrār hī kareñge
maiñ jāntā thā mirā qabīla burīda aur be-ridā saroñ kī gavāhiyāñ
le ke aa.egā phir bhī log inkār hī kareñge
so maiñ kamīñ-gāh-e-āfiyat meñ chalā gayā thā
so maiñ amāñ-gāh-e-maslahat meñ chalā gayā thā
aur ab mujhe mere shahsavāroñ kā ḳhuun āvāz de rahā hai
to nazr-e-sar le ke aa gayā huuñ
tabāh hone ko ek ghar le ke aa gayā huuñ
maiñ laakh buzdil sahī magar maiñ usī qabīle kā aadmī huuñ!
main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun ki jis ke beTon ne
jo kaha us pe jaan de di
main jaanta tha mere qabile ki KHema-gahen jalai jaengi aur tamashai
raqs-e-shoala-fishan par israr hi karenge
main jaanta tha mera qabila burida aur be-rida saron ki gawahiyan
le ke aaega phir bhi log inkar hi karenge
so main kamin-gah-e-afiyat mein chala gaya tha
so main aman-gah-e-maslahat mein chala gaya tha
aur ab mujhe mere shahsawaron ka KHun aawaz de raha hai
to nazr-e-sar le ke aa gaya hun
tabah hone ko ek ghar le ke aa gaya hun
main lakh buzdil sahi magar main usi qabile ka aadmi hun!
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 507)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.