election
intiḳhāb kā mausam aa kar guzar chukā
netāoñ ke va.ade
panditoñ kī arādhnā
jubba-o-dastār ke farmān
ham sab ne sune
sabhoñ ne ek hī baat kahī hai
achchhe din aane vaale haiñ
un dinoñ kī ḳhvāhish meñ
jaane kitne saal guzre haiñ
jab
khetoñ kī hariyālī sāhūkāroñ se bach jaa.e
mazdūroñ kā ḳhūn-pasīna apnā rang dikhlā.e
pūñjī-patiyoñ ke mahloñ ke saath
ġharīboñ kī kuTiyā meñ tarang aa jaa.e
bhuuk aur be-rozgārī zer-e-dām aa jaa.e
aadmī bhuuk se mahfūz ho jaa.e
aurat kī azmat pāmāl na ho
corruption kī la.anat duur ho jaa.e
sab ko un ke hisse ke sukh mil jaa.eñ
ā.īye sab mil kar intizār kareñ ki
vo achchhe din aa hī jaa.eñ
ki intizār bharī āñkhoñ meñ
ḳhvāboñ kī bastī
ab sone hī vaalī hai
intiKHab ka mausam aa kar guzar chuka
netaon ke wade
panditon ki aradhna
jubba-o-dastar ke farman
hum sab ne sune
sabhon ne ek hi baat kahi hai
achchhe din aane wale hain
un dinon ki KHwahish mein
jaane kitne sal guzre hain
jab
kheton ki hariyali sahukaron se bach jae
mazduron ka KHun-pasina apna rang dikhlae
punji-patiyon ke mahlon ke sath
gharibon ki kuTiya mein tarang aa jae
bhuk aur be-rozgari zer-e-dam aa jae
aadmi bhuk se mahfuz ho jae
aurat ki azmat pamal na ho
corruption ki lanat dur ho jae
sab ko un ke hisse ke sukh mil jaen
aaiye sab mil kar intizar karen ki
wo achchhe din aa hi jaen
ki intizar bhari aankhon mein
KHwabon ki basti
ab sone hi wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.