election
saaqī sharāb de ki election hai āj-kal
barseñge vote jis meñ vo sāvan hai āj-kal
jamhūriyat ke paañv meñ jhāñjan hai āj-kal
ye mulk us ke naach kā āñgan hai āj-kal
saudā hai leaderī kā jo dil ko satā.e hai
''dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e hai''
lo ho gayā hai uuñT election kā be-nakel
ab laTh chaleñge jalsoñ meñ ābād hoñge jail
phir leaderoñ kī hogī akhāḌoñ meñ rel-pel
votoñ kī har dukān pe hogī grand sale
votoñ se baḌh ke ab koī hathiyār bhī nahīñ
''laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ''
zinda hai vo ki jis kā register meñ naam hai
aur zindagī sharīfoñ ke uupar harām hai
haiñ jis ke paas vote madār-ul-mahām hai
lailā-e-leaderī kī vo thāme lagām hai
leader ke muñh pe shahar ke kūchoñ kī gard hai
''ishq-e-nabard-pesha talabgār-e-mard hai''
vaqt aa gayā zamīr kī bai-o-ḳharīd kā
import ke licence ke va.ade-va.īd kā
din hai birādrī o qabā.il kī iid kā
aapas meñ gallabānoñ kī guft-o-shunīd kā
muslim ko be-shak aisī musāvāt chāhiye
''ārif hamesha mast-e-mai-e-zāt chāhiye''
dañggal kī kashtiyoñ meñ har ik chiiz hai ravā
ya.anī milegī millat-e-āsī ko har davā
naġhme kā daur, daur-e-mai-o-raqs kā mazā
jis ko zabān kah na sake us se bhī sivā
likkhā huā hai qismat-e-ummīd-vār meñ
''uḌtī phiregī ḳhaak tirī kū-e-yār meñ''
ahl-e-basīrat ab nahīñ dekheñge khoT ko
hāsil kareñge laakh tarīqoñ se vote ko
paanī hī kī tarah se bahā.enge note ko
rokeñgi zar kī Dhaal pe dushman kī choT ko
voter ko baḳhshā jā.egā bhārī mushāhra
phir jiit kī ḳhushī meñ kareñge mushā.era
ā.eñge vote dene ko jab jāhilān-e-qaum
un ko dikhā.e jā.eñge pahle nishān-e-qaum
gaiñDā nishān rakkhegā ik pahlavān-e-qaum
hai uuñT koī koī yake-az-ḳharān-e-qaum
insāniyat kī qaid se sab ho ga.e barī
un kā mua.ālijā ho to hogā veterinary
saqi sharab de ki election hai aaj-kal
barsenge wote jis mein wo sawan hai aaj-kal
jamhuriyat ke panw mein jhanjan hai aaj-kal
ye mulk us ke nach ka aangan hai aaj-kal
sauda hai leaderi ka jo dil ko satae hai
dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jae hai
lo ho gaya hai unT election ka be-nakel
ab laTh chalenge jalson mein aabaad honge jail
phir leaderon ki hogi akhaDon mein rel-pel
woton ki har dukan pe hogi grand sale
woton se baDh ke ab koi hathiyar bhi nahin
laDte hain aur hath mein talwar bhi nahin
zinda hai wo ki jis ka register mein nam hai
aur zindagi sharifon ke upar haram hai
hain jis ke pas wote madar-ul-maham hai
laila-e-leaderi ki wo thame lagam hai
leader ke munh pe shahar ke kuchon ki gard hai
ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard hai
waqt aa gaya zamir ki bai-o-KHarid ka
import ke licence ke wade-waid ka
din hai biradri o qabail ki id ka
aapas mein gallabanon ki guft-o-shunid ka
muslim ko be-shak aisi musawat chahiye
aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye
danggal ki kashtiyon mein har ek chiz hai rawa
yani milegi millat-e-asi ko har dawa
naghme ka daur, daur-e-mai-o-raqs ka maza
jis ko zaban kah na sake us se bhi siwa
likkha hua hai qismat-e-ummid-war mein
uDti phiregi KHak teri ku-e-yar mein
ahl-e-basirat ab nahin dekhenge khoT ko
hasil karenge lakh tariqon se wote ko
pani hi ki tarah se bahaenge note ko
rokengi zar ki Dhaal pe dushman ki choT ko
woter ko baKHsha jaega bhaari mushahra
phir jit ki KHushi mein karenge mushaera
aaenge wote dene ko jab jahilan-e-qaum
un ko dikhae jaenge pahle nishan-e-qaum
gainDa nishan rakkhega ek pahlawan-e-qaum
hai unT koi koi yake-az-KHaran-e-qaum
insaniyat ki qaid se sab ho gae bari
un ka muaalija ho to hoga weterinary
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 164)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.