yuuñ hī email se aa jaate haiñ saada se ḳhutūt
sādgī itnī ki ḳhushbū na ve rañg liye
haañ vahī rañg jo tere lab-o-ruḳhsār kā hai
ab to kāġhaz pe koī naqsh ubhartā hī nahīñ
haañ vahī naqsh tere mehñdī lage hāthoñ kā
ab kisī harf se aatī nahīñ ḳhushbū terī
kaise alfāz haiñ ye jo terī sāñsoñ kī mahak
bin sameTe hue chup-chāp chale aate haiñ
itnī chup-chāp ki aahaT bhī nahīñ mil paatī
kam se kam dekhiye āvāz diyā kartā thā
aur ab ham yahāñ logoñ kiyā karte haiñ
ḳhat ke pahlū meñ ab aatā hī nahīñ zulf kā baal
ab to mahsūs nahīñ hotī zabān-e-taslīm
ab to scrēn pe ādāb liyā karte haiñ
ab faqat DhūñDh ke rah jaate haiñ sūrat terī
ab to bas tū hī samajhtā hai zarūrat merī
ai na.e daur ye email mubārak ho tujhe
ye taraqqī kā nayā taur mubārak ho tujhe
dil sulagtā hai magar dekh dhuāñ bhī to nahīñ
hoñT rakhūñ to kahāñ pairoñ ke nishāñ bhī to nahīñ
dil ke bahlāne ko inbox meñ ghuum aatā huuñ
ain mumkin hai terā mel koī aayā ho
garche aayā bhī to mālūm hai kyā lā.egā
ik tasallī terā paiġhām koī laayā ho
jaan kar zahar bhī ham zahar piye dete haiñ
jaane kyoñ page ko refresh kiye dete haiñ
mel khulte hī merā saarā bharam TuuT gayā
dekhiye kyā to hamesha ki liye chhūT gayā
tishnagī phir se vahī phir se vahī bechainī
hoñT rakhūñ to kahāñ par ki nishāñ bhī to nahīñ
yun hi email se aa jate hain sada se KHutut
sadgi itni ki KHushbu na we rang liye
han wahi rang jo tere lab-o-ruKHsar ka hai
ab to kaghaz pe koi naqsh ubharta hi nahin
han wahi naqsh tere mehndi lage hathon ka
ab kisi harf se aati nahin KHushbu teri
kaise alfaz hain ye jo teri sanson ki mahak
bin sameTe hue chup-chap chale aate hain
itni chup-chap ki aahaT bhi nahin mil pati
kam se kam dekhiye aawaz diya karta tha
aur ab hum yahan logon kiya karte hain
KHat ke pahlu mein ab aata hi nahin zulf ka baal
ab to mahsus nahin hoti zaban-e-taslim
ab to screen pe aadab liya karte hain
ab faqat DhunDh ke rah jate hain surat teri
ab to bas tu hi samajhta hai zarurat meri
ai nae daur ye email mubarak ho tujhe
ye taraqqi ka naya taur mubarak ho tujhe
dil sulagta hai magar dekh dhuan bhi to nahin
honT rakhun to kahan pairon ke nishan bhi to nahin
dil ke bahlane ko inbox mein ghum aata hun
ain mumkin hai tera mel koi aaya ho
garche aaya bhi to malum hai kya laega
ek tasalli tera paigham koi laya ho
jaan kar zahar bhi hum zahar piye dete hain
jaane kyon page ko refresh kiye dete hain
mel khulte hi mera sara bharam TuT gaya
dekhiye kya to hamesha ki liye chhuT gaya
tishnagi phir se wahi phir se wahi bechaini
honT rakhun to kahan par ki nishan bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.