tum se mil ke
zindagī achchhī lagī
dil ko lekin
is kā andāza nahīñ
ḳhvāb se bāhar nikalne ke liye
mere ghar meñ koī darvāza nahīñ
ek khiḌkī meñ tumhārī yaad hai
aur ik dīvār pe vo ā.īna
jis meñ tanhā.ī nazar aatī nahīñ
frame meñ tasvīr
koī giit dohrātī nahīñ
mez pe rakkhī hai
nazmoñ kī kitāb
phuul ik gul-dān meñ
ḳhāmosh haiñ
sub.h ke aḳhbār kī koī ḳhabar
tum kahāñ ho
ye batā saktī nahīñ
tum jahāñ ho ab vahāñ shāyad
mirī āvāz jā saktī nahīñ
abr meñ Duube sitāre
kyuuñ havā ko
shaam ke rañgoñ se bhar sakte nahīñ?
kyā ye sach hai
ham ḳhushī email kar sakte nahīñ?
tum se mil ke
zindagi achchhi lagi
dil ko lekin
is ka andaza nahin
KHwab se bahar nikalne ke liye
mere ghar mein koi darwaza nahin
ek khiDki mein tumhaari yaad hai
aur ek diwar pe wo aaina
jis mein tanhai nazar aati nahin
frame mein taswir
koi git dohraati nahin
mez pe rakkhi hai
nazmon ki kitab
phul ek gul-dan mein
KHamosh hain
subh ke aKHbar ki koi KHabar
tum kahan ho
ye bata sakti nahin
tum jahan ho ab wahan shayad
meri aawaz ja sakti nahin
abr mein Dube sitare
kyun hawa ko
sham ke rangon se bhar sakte nahin?
kya ye sach hai
hum KHushi email kar sakte nahin?
- Book : saarii nazmen (Pg. 553)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.