emergency se pahle emergency ke baad
kal thī hamāre vāste tārīkiyoñ kī shab
ġhārat-garī thī luuT thī vahshat kā daur thā
pas-māñdagān-e-vaqt kī aahoñ kā shor thā
āsūdgī ke naam pe dhoke hue the kal
insāniyat ke naam pe insāñ kā kaal thā
har koī fikrmand pareshān-hāl thā
ahl-e-vatan malūl bhī aise malūl the
chehre the ashk ashk magar ḳhushk phuul the
jiinā ġharīb ke liye dushvār kaam thā
jiine kī istilāh meñ jiinā harām thā
siine meñ un ke saañs bahut tang tang thī
jaise ḳhud apne aap se ik jang jang thī
aise meñ shāntī kā nayā daur aa gayā sūraj huā falak pe nayā aas kā tulūa
tārīkiyāñ jo shab kī thiiñ din meñ badal ga.iiñ
jitnī thiiñ āfateñ vo tadabbur se Tal ga.iiñ
jiinā har ik ke vāste āsān ho gayā
vīrāna-e-hayāt
gulistān ho gayā
bint-e-gulāb paikar-e-amn-o-amāñ hai aaj
jannat-nishān vāqa.ī hindostāñ hai aaj
kal thi hamare waste tarikiyon ki shab
ghaarat-gari thi luT thi wahshat ka daur tha
pas-mandagan-e-waqt ki aahon ka shor tha
aasudgi ke nam pe dhoke hue the kal
insaniyat ke nam pe insan ka kal tha
har koi fikrmand pareshan-haal tha
ahl-e-watan malul bhi aise malul the
chehre the ashk ashk magar KHushk phul the
jina gharib ke liye dushwar kaam tha
jine ki istilah mein jina haram tha
sine mein un ke sans bahut tang tang thi
jaise KHud apne aap se ek jang jang thi
aise mein shanti ka naya daur aa gaya suraj hua falak pe naya aas ka tulua
tarikiyan jo shab ki thin din mein badal gain
jitni thin aafaten wo tadabbur se Tal gain
jina har ek ke waste aasan ho gaya
virana-e-hayat
gulistan ho gaya
bint-e-gulab paikar-e-amn-o-aman hai aaj
jannat-nishan waqai hindostan hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.