tumhārī aañkh meñ kyā hai
gulāboñ kī mahak ne
jism meñ rauzan banā.e haiñ
palaT kar dekh lo
duurī kī har chaTTān girtī hai
sazāoñ ke liye tayyār ho jaao
adhūre dā.eroñ meñ raqs karne ke liye
hushiyār ho jaao
tumhārī chīḳh ke nanhe parindoñ ko uḌānoñ kā
nayā mausam mubārak ho
patangoñ kī safoñ meñ khalbalī kyoñ hai
charāġhoñ ko dhueñ kī chādaroñ meñ muñh chhapāne kī
na.ī sūrat nazar aa.e
ye tum ko kyā huā tum āsmānoñ se zamīñ par kyoñ utar aa.e
nukīle nāḳhunoñ se apnī qabreñ khodne vaalo
thakan se chuur chehroñ par abhī tak
sharm ke āsār baaqī haiñ
añdhere ke kisī pātāl meñ
utre chale jaao
tumhāre ratjagoñ ne niiñd ko pāmāl kar Daalā
saḳhī āñkhoñ ke ashkoñ ne tumheñ kangāl kar Daalā
tumhārī be-dilī kā karb ab dekhā nahīñ jaatā
chalo tum ko kisī ik ghūmtī kursī pe baiThā deñ
tumhaari aankh mein kya hai
gulabon ki mahak ne
jism mein rauzan banae hain
palaT kar dekh lo
duri ki har chaTTan girti hai
sazaon ke liye tayyar ho jao
adhure daeron mein raqs karne ke liye
hushiyar ho jao
tumhaari chiKH ke nanhe parindon ko uDanon ka
naya mausam mubarak ho
patangon ki safon mein khalbali kyon hai
charaghon ko dhuen ki chadaron mein munh chhapane ki
nai surat nazar aae
ye tum ko kya hua tum aasmanon se zamin par kyon utar aae
nukile naKHunon se apni qabren khodne walo
thakan se chur chehron par abhi tak
sharm ke aasar baqi hain
andhere ke kisi patal mein
utre chale jao
tumhaare ratjagon ne nind ko pamal kar Dala
saKHi aankhon ke ashkon ne tumhein kangal kar Dala
tumhaari be-dili ka karb ab dekha nahin jata
chalo tum ko kisi ek ghumti kursi pe baiTha den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.