etizar
tum samajhtī ho ye gul-dān meñ hañste hue phuul
merī afsurdagi-e-dil ko miTā hī deñge
ye hasīñ phuul ki haiñ jān-e-gulistān-e-bahār
mere so.e hue naġhmoñ ko jagā hī deñge
tum ne dekhī haiñ damaktī huī sham.eñ lekin
tum ne dekhe nahīñ bujhte hue dīpak hamdam
vahī dīpak jo nigāhoñ kā sahārā pā kar
ek lamhe ke liye jalte haiñ bujh jaate haiñ
kabhī ik ashk se dhul jaate haiñ sadiyoñ ke ġhubār
kā.enāt aur nikhar aur sañvar jaatī hai
kabhī nākām tamannā kī sadā-e-mub.ham
qahqaha ban ke fazāoñ meñ bikhar jaatī hai
TūTte tāroñ ke sañgīt sune haiñ tum ne
vo bhī naġhme haiñ jo hoñToñ se gurezāñ hī rahe
phaḌ.phaḌāte hue dekhe haiñ fazāoñ meñ kabhī
vo fasāne jo nigāhoñ se bayāñ ho na sake
kabhī kāñToñ se bahal jaatī hai rūh-e-ġhamgīñ
aur ma.asūm shagūfoñ kī rasīlī ḳhushbū
neshtar ban ke rag-e-jāñ meñ utar jaatī hai
haañ yahī phuul yahī jān-e-gulistān-e-bahār
naag ban kar kabhī ehsās ko Das lete haiñ
tum samajhti ho ye gul-dan mein hanste hue phul
meri afsurdagi-e-dil ko miTa hi denge
ye hasin phul ki hain jaan-e-gulistan-e-bahaar
mere soe hue naghmon ko jaga hi denge
tum ne dekhi hain damakti hui shamen lekin
tum ne dekhe nahin bujhte hue dipak hamdam
wahi dipak jo nigahon ka sahaara pa kar
ek lamhe ke liye jalte hain bujh jate hain
kabhi ek ashk se dhul jate hain sadiyon ke ghubar
kaenat aur nikhar aur sanwar jati hai
kabhi nakaam tamanna ki sada-e-mubham
qahqaha ban ke fazaon mein bikhar jati hai
TuTte taron ke sangit sune hain tum ne
wo bhi naghme hain jo honTon se gurezan hi rahe
phaDphaDate hue dekhe hain fazaon mein kabhi
wo fasane jo nigahon se bayan ho na sake
kabhi kanTon se bahal jati hai ruh-e-ghamgin
aur masum shagufon ki rasili KHushbu
neshtar ban ke rag-e-jaan mein utar jati hai
han yahi phul yahi jaan-e-gulistan-e-bahaar
nag ban kar kabhi ehsas ko Das lete hain
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 252)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.