europe ki pahli jhalak
bād-o-bārāñ se ulajhtā ḳhanda-zan girdāb par
ik jazīra tairtā jaatā hai sat.h-e-āb par
gum ka.ī sadiyoñ kā us meñ jazba-e-tahqīq hai
ye jazīra aadmī ke zehn kī taḳhlīq hai
jā rahā hai har ghaḌī maujoñ se Takrātā huā
apne hī andāz meñ apnā rajaz gaatā huā
bahr kī amvāj par bahte hue shahr-e-jamīl
har qadam terā liye hai terī azmat kī dalīl
āñdhiyoñ kā zor, maujoñ kī ravānī tujh meñ hai
irtiqā-e-zehn-e-insāñ kī kahānī tujh meñ hai
har bhañvar meñ aur har tūfān meñ sāhil hai tū
sīna-e-imroz-o-fardā kā dhaḌaktā dil hai tū
to tajallī hī tajallī hai añdherī raat meñ
raushnī kā hai manāra ālam-e-zulmāt meñ
raat aa.ī jaag uThā insāñ kā zauq-e-be-bisāt
āḳhirī is kā Thikāna mard o zan kā iḳhtilāt
kis qadar arzāñ hue tahzīb ke lam.āt-e-nūr
allāh allāh chaar jānib raushnī kā ye vafūr
is tarah se maiñ ne kab dekhī thī mai-ḳhāne meñ dhuum
auratoñ mardoñ kā laḌkoñ laḌkiyoñ kā ye hujūm
sab nashe meñ mast haiñ lekin haiñ kitne bā-ḳhabar
phir rahe haiñ sab ke sab ik dūsre ko thaam kar
ahmarīñ sāġhar, lab-e-lālīñ, nigāheñ mai-farosh
har taraf hai ek mastī, har taraf hai ik ḳharosh
is jagah idrāk se begāna koī bhī nahīñ
sab haiñ farzāne yahāñ dīvāna koī bhī nahīñ
aql kī is bazm meñ dīvāngī kā kaam kyā
DhūñDhtā hai tū yahāñ aa kar dil-e-nākām kyā
itnī āgāhī kisī ko ho ye mohlat hī nahīñ
kis kī bāheñ kis kī gardan meñ hamā.il ho ga.iiñ
aa ke āġhosh-e-havas meñ ḳhud yahāñ girtā hai husn
kis qadar kachche sahāre DhūñDhtā phirtā hai husn
jis se ḳhīra terī āñkheñ haiñ chamak europe kī hai
dekh ai 'āzād'! ye pahlī jhalak europe kī hai
baad-o-baran se ulajhta KHanda-zan girdab par
ek jazira tairta jata hai sath-e-ab par
gum kai sadiyon ka us mein jazba-e-tahqiq hai
ye jazira aadmi ke zehn ki taKHliq hai
ja raha hai har ghaDi maujon se Takraata hua
apne hi andaz mein apna rajaz gata hua
bahr ki amwaj par bahte hue shahr-e-jamil
har qadam tera liye hai teri azmat ki dalil
aandhiyon ka zor, maujon ki rawani tujh mein hai
irtiqa-e-zehn-e-insan ki kahani tujh mein hai
har bhanwar mein aur har tufan mein sahil hai tu
sina-e-imroz-o-farda ka dhaDakta dil hai tu
to tajalli hi tajalli hai andheri raat mein
raushni ka hai manara aalam-e-zulmat mein
raat aai jag uTha insan ka zauq-e-be-bisat
aaKHiri is ka Thikana mard o zan ka iKHtilat
kis qadar arzan hue tahzib ke lamat-e-nur
allah allah chaar jaanib raushni ka ye wafur
is tarah se main ne kab dekhi thi mai-KHane mein dhum
auraton mardon ka laDkon laDkiyon ka ye hujum
sab nashe mein mast hain lekin hain kitne ba-KHabar
phir rahe hain sab ke sab ek dusre ko tham kar
ahmarin saghar, lab-e-lalin, nigahen mai-farosh
har taraf hai ek masti, har taraf hai ek KHarosh
is jagah idrak se begana koi bhi nahin
sab hain farzane yahan diwana koi bhi nahin
aql ki is bazm mein diwangi ka kaam kya
DhunDhta hai tu yahan aa kar dil-e-nakaam kya
itni aagahi kisi ko ho ye mohlat hi nahin
kis ki bahen kis ki gardan mein hamail ho gain
aa ke aaghosh-e-hawas mein KHud yahan girta hai husn
kis qadar kachche sahaare DhunDhta phirta hai husn
jis se KHira teri aankhen hain chamak europe ki hai
dekh ai 'azad'! ye pahli jhalak europe ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.