mulaqat
raat sannāTā dar-o-bām ke hoñToñ pe sukūt
rāheñ chup-chāp haiñ patthar ke butoñ kī mānind
raushnī tāqatoñ meñ alsā.ī huī baiThī hai
niiñd āñkhoñ ke darīchoñ se lagī baiThī hai
din ke hañgāmoñ kī raunaq ko bujhe der huī
chāñd ko nikle sitāroñ ko saje der huī
ab kisī chashm-e-nigah-dār kā ḳhatra bhī nahīñ
vaqt ke haath meñ ab sañg-e-malāmat bhī nahīñ
dil jo machle to koī Tokne vaalā bhī nahīñ
jism pighle to koī dekhne vaalā bhī nahīñ
ai nigār-e-dil-o-jāñ shauq kī bāhoñ meñ machal
saaya saaya yūñhī āġhosh-e-chaman-zār meñ chal
din sitam-pesha hai rāzoñ ko ugal detā hai
raat ma.asūm hai rāzoñ ko chhupā letī hai
raat sannaTa dar-o-baam ke honTon pe sukut
rahen chup-chap hain patthar ke buton ki manind
raushni taqaton mein alsai hui baiThi hai
nind aankhon ke darichon se lagi baiThi hai
din ke hangamon ki raunaq ko bujhe der hui
chand ko nikle sitaron ko saje der hui
ab kisi chashm-e-nigah-dar ka KHatra bhi nahin
waqt ke hath mein ab sang-e-malamat bhi nahin
dil jo machle to koi Tokne wala bhi nahin
jism pighle to koi dekhne wala bhi nahin
ai nigar-e-dil-o-jaan shauq ki bahon mein machal
saya saya yunhi aaghosh-e-chaman-zar mein chal
din sitam-pesha hai raazon ko ugal deta hai
raat masum hai raazon ko chhupa leti hai
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 43)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.