farisa mahdubani se
madhūbanī
apnī ghoḌī ko dauḌāo nahīñ madhūbanī
pas ho jaao us par halke se savār
aur chhoḌ do use khulā
aur dekho
vo tumheñ kin hairat-añgez murġh-zāroñ kī
sair karātī hai
madhūbanī
bharosa rakho madhūbanī
aur sauñp do us ko apnā aap
tarovar ke us paat kī tarah
jo apnī qaid se āzād ho kar
apne aap ko kar detā hai
pavan ke ġhazāl ke havāle
madhūbanī
Daro nahīñ madhūbanī
aur rahne do apnī ghoḌī ko be-lagām
ki vo apnī mastī meñ
tumheñ ek rāz-bhare jangal kī sair karā.egī
aur le jā.egī un ḳhufiya maqāmāt tak
jahāñ use maġhlūb kar ke
tum kabhī nahīñ pahuñch saktīñ
ki madhūbanī
chaqmaq kī chaTTān ke pīchhe raste jhilmilāte pāniyoñ ke jin chashmoñ se piitī hai vo amrit
aur jin jharnoñ-bhare sarsabz kohistānoñ meñ
vo letī hai añgḌā.iyāñ apnī saheliyoñ ke saath
tum use lagām de kar
kabhī vahāñ tak nahīñ pahuñch saktīñ
pas sivā.e is ke
ki ban jaao tum bhī
us kī sakhī
madhūbanī
registānoñ kī sair ko niklo madhūbanī
aur savār ho jaao ūñTnī par
aur banāo use apnī mādar
ki vo apne mīThe duudh meñ ghulī
shītal raat sahrā kī
tum par khole
aur jaan meñ tumhārī
dasht kī mamtā ke raaz ghole
madhūbanī
apnī maañ ko nath pahnāo madhūbanī
ki suukh jā.egā duudh us kā
aur na pahuñch pā.egī vo kabhī
naḳhlistān ke pardoñ meñ chhupī us jhiil tak
jahāñ vo sirf
apne bachchoñ ko sairāb kartī hai
madhūbanī
sāhiloñ ko pahuñcho madhūbanī
aur ird-gird beloñ meñ paḌe sūkhe baañs ikaTThe karo
aur phir
unheñ taaḌ kī utrī chhāl se bāñdh kar
ek taḳht banāo
aur us ko apnā bichhaunā kar ke
dariyāoñ meñ utar jaao
aur khelo un kī maujoñ se
ki vo tumheñ apnā banā kar
apne ThaThoñ meñ jhūle jhulā.eñ
aur sunā.eñ tumheñ
jaltarangī loriyāñ
madhūbanī
jhiḌak do apne aap se
ḳhauf kī sab beḌiyāñ
aur utaar pheñko ye
sattā kā chhal jaal
mat karo madhūbanī
aisī kashtī kā kashT
jo de tumheñ dariyāoñ pe
hukmrānī kā gumān
ki raaj paaT kī is moh maayā meñ
tumhārā taḳhta
yaqīnan ulTā jā.egā
to madhubanī
pas de do apne aap ko
dhartī kī āġhosh meñ
jo hai tumhārī
pālanhār
aur apne dil se nikāl do
apnī mādar-e-pur-rahmat ko
musaḳhḳhar karne kā ḳhayāl
ki tum janī ho
usī ke giile raham kī
aur lauT jāogī jald
us ke
sūkhe raham meñ
madhubani
apni ghoDi ko dauDao nahin madhubani
pas ho jao us par halke se sawar
aur chhoD do use khula
aur dekho
wo tumhein kin hairat-angez murgh-zaron ki
sair karaati hai
madhubani
bharosa rakho madhubani
aur saunp do us ko apna aap
tarowar ke us pat ki tarah
jo apni qaid se aazad ho kar
apne aap ko kar deta hai
pawan ke ghazal ke hawale
madhubani
Daro nahin madhubani
aur rahne do apni ghoDi ko be-lagam
ki wo apni masti mein
tumhein ek raaz-bhare jangal ki sair karaegi
aur le jaegi un KHufiya maqamat tak
jahan use maghlub kar ke
tum kabhi nahin pahunch saktin
ki madhubani
chaqmaq ki chaTTan ke pichhe raste jhilmilate paniyon ke jin chashmon se piti hai wo amrit
aur jin jharnon-bhare sarsabz kohistanon mein
wo leti hai angDaiyan apni saheliyon ke sath
tum use lagam de kar
kabhi wahan tak nahin pahunch saktin
pas siwae is ke
ki ban jao tum bhi
us ki sakhi
madhubani
registanon ki sair ko niklo madhubani
aur sawar ho jao unTni par
aur banao use apni madar
ki wo apne miThe dudh mein ghuli
shital raat sahra ki
tum par khole
aur jaan mein tumhaari
dasht ki mamta ke raaz ghole
madhubani
apni man ko nath pahnao madhubani
ki sukh jaega dudh us ka
aur na pahunch paegi wo kabhi
naKHlistan ke pardon mein chhupi us jhil tak
jahan wo sirf
apne bachchon ko sairab karti hai
madhubani
sahilon ko pahuncho madhubani
aur ird-gird belon mein paDe sukhe bans ikaTThe karo
aur phir
unhen taD ki utri chhaal se bandh kar
ek taKHt banao
aur us ko apna bichhauna kar ke
dariyaon mein utar jao
aur khelo un ki maujon se
ki wo tumhein apna bana kar
apne ThaThon mein jhule jhulaen
aur sunaen tumhein
jaltarangi loriyan
madhubani
jhiDak do apne aap se
KHauf ki sab beDiyan
aur utar phenko ye
satta ka chhal jal
mat karo madhubani
aisi kashti ka kashT
jo de tumhein dariyaon pe
hukmrani ka guman
ki raj paT ki is moh maya mein
tumhaara taKHta
yaqinan ulTa jaega
to madhubani
pas de do apne aap ko
dharti ki aaghosh mein
jo hai tumhaari
palanhaar
aur apne dil se nikal do
apni madar-e-pur-rahmat ko
musaKHKHar karne ka KHayal
ki tum jani ho
usi ke gile raham ki
aur lauT jaogi jald
us ke
sukhe raham mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.