fasla
zamāna vo bhī thā ab se pahle
kisī ḳhabar ko kahīñ rasā.ī ke vāste ik sadī kā arsa lagānā paḌtā thā
us ke bā-vasf
kabhī musāfir ko bāzyābī nasīb hotī thī aur kabhī rāste meñ dam us kā TuuT jaatā thā
masāfatoñ kā tavīl dhāgā agarche gole meñ aT gayā hai
tanāb dhartī kī yuuñ khiñchī hai
jahāñ kahīñ ho rahā hai jo kuchh bhī is amal meñ to dūsre bhī isī amal meñ usī tarah haz uThā rahe haiñ
ye ghar se bāhar ke lamhe lamhe se bā-ḳhabar haiñ
magar unheñ apne ghar kī koī ḳhabar nahīñ hai
kisī kī ḳhātir paḌos bastā hai kaale kosoñ
koī ḳhud apne hī ghar meñ ek ajnabī huā hai
diloñ kī qurbat meñ ret duurī kī uḌ rahī hai
ajiib sā fāsla ugā hai
zamana wo bhi tha ab se pahle
kisi KHabar ko kahin rasai ke waste ek sadi ka arsa lagana paDta tha
us ke ba-wasf
kabhi musafir ko bazyabi nasib hoti thi aur kabhi raste mein dam us ka TuT jata tha
masafaton ka tawil dhaga agarche gole mein aT gaya hai
tanab dharti ki yun khinchi hai
jahan kahin ho raha hai jo kuchh bhi is amal mein to dusre bhi isi amal mein usi tarah haz uTha rahe hain
ye ghar se bahar ke lamhe lamhe se ba-KHabar hain
magar unhen apne ghar ki koi KHabar nahin hai
kisi ki KHatir paDos basta hai kale koson
koi KHud apne hi ghar mein ek ajnabi hua hai
dilon ki qurbat mein ret duri ki uD rahi hai
ajib sa fasla uga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.