fasla
na phir vo maiñ thā
na phir vo tum the
na jaane kitnī masāfateñ darmiyāñ khaḌī thiiñ
us ek lamhe ke ā.īne par
na jaane kitne baras pareshān dhuul kī tarah se jame the
jinheñ rifāqat samajh ke ham donoñ mutma.in the
is ek lamhe ke ā.īne meñ
jab apne apne naqāb ulaT kar
ḳhud apne chehroñ ko ham ne dekhā
to ek lamha
vo ek lamhe kā ā.īna kitnī sadiyoñ kitne hazār mīloñ kī shakl meñ
darmiyāñ khaḌā thā
na phir vo maiñ thā na phir vo tum the
bas ek vīrāñ ḳhamosh sahrā bas ek vīrāñ ḳhamosh sahrā
na phir wo main tha
na phir wo tum the
na jaane kitni masafaten darmiyan khaDi thin
us ek lamhe ke aaine par
na jaane kitne baras pareshan dhul ki tarah se jame the
jinhen rifaqat samajh ke hum donon mutmain the
is ek lamhe ke aaine mein
jab apne apne naqab ulaT kar
KHud apne chehron ko hum ne dekha
to ek lamha
wo ek lamhe ka aaina kitni sadiyon kitne hazar milon ki shakl mein
darmiyan khaDa tha
na phir wo main tha na phir wo tum the
bas ek viran KHamosh sahra bas ek viran KHamosh sahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.