niiñd se bhīge lamhoñ meñ
mere jism ko
Dūbne kī aadat hai
is liye mere dil ne
tairnā sīkhā hai
ḳhushbū ke qurb meñ rangoñ kā bikharnā
merī samā.at hai
is liye mere dil ne
parakhnā sīkhā hai
maiñ ik ḳhvāb liye
nagar nagar phirtā huuñ
aur anginat ta.abīreñ
kabhī āñkhoñ se
kabhī hatheliyoñ se
ulajh jaatī haiñ
maiñ is dhund meñ
shahr kī raushaniyāñ dekh to saktā huuñ
jahāñ ta.abīr ko ḳhvāb kī zarūrat nahīñ hotī
mere musavvir
tū ne mere hāthoñ meñ
vaqt kī barf rakh dī hai
ai mere basīr
merī kashtī ko
us shahr kī dahlīz tak pahuñchā de
is se pahle ki
merī hatheliyāñ
bhīgī rah jaa.eñ
nind se bhige lamhon mein
mere jism ko
Dubne ki aadat hai
is liye mere dil ne
tairna sikha hai
KHushbu ke qurb mein rangon ka bikharna
meri samaat hai
is liye mere dil ne
parakhna sikha hai
main ek KHwab liye
nagar nagar phirta hun
aur anginat tabiren
kabhi aankhon se
kabhi hatheliyon se
ulajh jati hain
main is dhund mein
shahr ki raushaniyan dekh to sakta hun
jahan tabir ko KHwab ki zarurat nahin hoti
mere musawwir
tu ne mere hathon mein
waqt ki barf rakh di hai
ai mere basir
meri kashti ko
us shahr ki dahliz tak pahuncha de
is se pahle ki
meri hatheliyan
bhigi rah jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.