faslon ki baat
tum ne fāsloñ kī baat samajh lī to tumheñ yaad aa.egā
ki fanā ham sab kī taqdīr hai
tumheñ ma.alūm hai? tumhāre
ghar kī sīḌhiyāñ chaḌhte hue maiñ ne hazār baar
chup-chāp
ziine kī safed dīvāroñ pe uñgliyāñ pherī haiñ
is ummīd meñ ki shāyad lams ke
aise zā.iqe vahāñ rah jaa.eñ jo tum hamesha
badan ke gunjalak aur be-lafz
zā.iqoñ kī tarah pahchān sako
aur yaad rakho
ab samajh meñ aane lagā hai
ki koī nazm kabhī ishq aur dard kī asl zarūriyāt
puurī nahīñ kartī
ki ishq maut ke ḳhilāf hathiyār nahīñ
ki hamāre lafz hamāre maqāsid se nā-āshnā haiñ
ki mujhe chāhat us shaḳhs kī hai jo tum ho
ki maiñ mukammal taur pe tumheñ
kabhī na jaan pā.ūñgā
aur tum ne ye tamām muddat
ḳhud apne mafhūm kī talāsh meñ sulagte pighalte
guzārī hai
tum ne faslon ki baat samajh li to tumhein yaad aaega
ki fana hum sab ki taqdir hai
tumhein malum hai? tumhaare
ghar ki siDhiyan chaDhte hue main ne hazar bar
chup-chap
zine ki safed diwaron pe ungliyan pheri hain
is ummid mein ki shayad lams ke
aise zaiqe wahan rah jaen jo tum hamesha
badan ke gunjalak aur be-lafz
zaiqon ki tarah pahchan sako
aur yaad rakho
ab samajh mein aane laga hai
ki koi nazm kabhi ishq aur dard ki asl zaruriyat
puri nahin karti
ki ishq maut ke KHilaf hathiyar nahin
ki hamare lafz hamare maqasid se na-ashna hain
ki mujhe chahat us shaKHs ki hai jo tum ho
ki main mukammal taur pe tumhein
kabhi na jaan paunga
aur tum ne ye tamam muddat
KHud apne mafhum ki talash mein sulagte pighalte
guzari hai
- Book : saugaat-2-3 (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.