fahmaish
is tarah kī fahmā.ish
phir kabhī nahīñ hogī
jis tarah mirī maañ ne
apne pyaar kī chādar
mere sar pe phailā kar
apnī god meñ bhar kar
mujh se ye kahā beTā
tum ne jhuuT bolā hai
ab agar kabhī tum ne
jhuuT jo kahā mujh se
to maiñ ruuTh jā.ūñgī
phir ye god ye chādar
DhūñDte rahoge tum
maiñ ne us ke baad 'anvar'
jhuuT to nahīñ bolā
phir vo pyaar kī chādar
maañ kī god kī garmī
kyoñ bichhaḌ ga.ī mujh se
is tarah ki fahmaish
phir kabhi nahin hogi
jis tarah meri man ne
apne pyar ki chadar
mere sar pe phaila kar
apni god mein bhar kar
mujh se ye kaha beTa
tum ne jhuT bola hai
ab agar kabhi tum ne
jhuT jo kaha mujh se
to main ruTh jaungi
phir ye god ye chadar
DhunDte rahoge tum
main ne us ke baad 'anwar'
jhuT to nahin bola
phir wo pyar ki chadar
man ki god ki garmi
kyon bichhaD gai mujh se
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.