faisla
ham ek dūsre kā
libās bane the
aur ta'alluqāt kī is ḳhūbsūrat maalā meñ
hameñ ḳhud ko piro.e
bas do hī din hue the
ki yak-dam
mere dil ke kisī nā-āsūda goshe meñ
ye ehsās paidā huā
ki zarūr kahīñ koī baat
ġhalat ho ga.ī hai
aur jaise is ḳhūbsūrat rishte kī
pahlī iiñT hī TeḌhī rakhī ga.ī hai
merā dil bujh sā gayā
lekin maiñ ne sar ko jhaTkā
aur dil ko malāmat kī
abhī din hī kitne hue haiñ
vaqt guzartā rahā
aur ham donoñ
do muḳhtalif dhāroñ meñ
bahte chale ga.e
ye jānte hue
ki ham ek dūsre ke liye
nahīñ banā.e ga.e
balki hamārī ba.az zarūratoñ se
paidā hone vaalī
zimmadāriyoñ kī vajah se
ham ek saath rahne par majbūr haiñ
ka.ī barsoñ ke baa'd
jab ham ek nā-pasandīda
magar fitrī faisla karne par majbūr hue
to hamārā libās
pahle hī se tār-tār thā
aur hamāre ird-gird ke log
na chāhte hue bhī
hamāre rishte kī uryānī kā
nazāra kar sakte the
hum ek dusre ka
libas bane the
aur ta'alluqat ki is KHubsurat mala mein
hamein KHud ko piroe
bas do hi din hue the
ki yak-dam
mere dil ke kisi na-asuda goshe mein
ye ehsas paida hua
ki zarur kahin koi baat
ghalat ho gai hai
aur jaise is KHubsurat rishte ki
pahli inT hi TeDhi rakhi gai hai
mera dil bujh sa gaya
lekin main ne sar ko jhaTka
aur dil ko malamat ki
abhi din hi kitne hue hain
waqt guzarta raha
aur hum donon
do muKHtalif dhaaron mein
bahte chale gae
ye jaante hue
ki hum ek dusre ke liye
nahin banae gae
balki hamari baz zaruraton se
paida hone wali
zimmadariyon ki wajah se
hum ek sath rahne par majbur hain
kai barson ke ba'd
jab hum ek na-pasandida
magar fitri faisla karne par majbur hue
to hamara libas
pahle hi se tar-tar tha
aur hamare ird-gird ke log
na chahte hue bhi
hamare rishte ki uryani ka
nazara kar sakte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.