faisla
jis raah se guzar kar
tum mere paas aa.ī thiiñ
usī raah se guzar kar
kisī tarah tum ab lauT jaao
ab hamāre darmiyāñ
koī dār-o-rasan nahīñ rahe
na jaane kyoñ ham ab
tumhāre ġham meñ jāgne ke qaa.il nahīñ rahe
masīh ban ke nikle the lekin
kahīñ koī qātil nahīñ rahe
vaqt ke saath ham ne bhī
me.ār-e-vafā badlā hai
tum bhī toḌ do diloñ ke ā.īne
aur apne ajdād ko rusvā kar do
shāh-rāhoñ par niklo ban-sañvar kar
jism ke har hisse kā saudā kar lo
kāsa-e-dil kī gadā.ī hameñ manzūr nahīñ
is daur meñ ab koī bhī mansūr nahīñ
jis rah se guzar kar
tum mere pas aai thin
usi rah se guzar kar
kisi tarah tum ab lauT jao
ab hamare darmiyan
koi dar-o-rasan nahin rahe
na jaane kyon hum ab
tumhaare gham mein jagne ke qail nahin rahe
masih ban ke nikle the lekin
kahin koi qatil nahin rahe
waqt ke sath hum ne bhi
mear-e-wafa badla hai
tum bhi toD do dilon ke aaine
aur apne ajdad ko ruswa kar do
shah-rahon par niklo ban-sanwar kar
jism ke har hisse ka sauda kar lo
kasa-e-dil ki gadai hamein manzur nahin
is daur mein ab koi bhi mansur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.