faisla
ab ke dīvār meñ darvāza rakhūñ yā na rakhūñ
ajnabī phir na koī darpai-e-āzār aa jaa.e
ek dastak meñ mirī saarī fasīleñ Dhā jaa.e
ab ke dīvār meñ darvāza rakkhūñ yā na rakhūñ
ek ahrām na chun luuñ sifat-e-dūd-e-harīr
koī aa.e to bas ik gumbad-e-dar-bastā mile
rāz-e-sar-basta mile
laakh sar phoḌe sadā koī na mujh tak pahuñche
qāsid-e-mauj-e-havā koī na mujh tak pahuñche
ab ke dīvār meñ darvāza rakkhūñ yā na rakhūñ
saare andeshe magar ek taraf
ek taraf terī ummīd
jaane kis vaqt idhar terī savārī aa jaa.e
ajnabī laakh koī merī fasīleñ Dhā jaa.e
mujh ko dīvār meñ darvāza lagānā hogā
ab ke diwar mein darwaza rakhun ya na rakhun
ajnabi phir na koi darpai-e-azar aa jae
ek dastak mein meri sari fasilen Dha jae
ab ke diwar mein darwaza rakkhun ya na rakhun
ek ahram na chun lun sifat-e-dud-e-harir
koi aae to bas ek gumbad-e-dar-basta mile
raaz-e-sar-basta mile
lakh sar phoDe sada koi na mujh tak pahunche
qasid-e-mauj-e-hawa koi na mujh tak pahunche
ab ke diwar mein darwaza rakkhun ya na rakhun
sare andeshe magar ek taraf
ek taraf teri ummid
jaane kis waqt idhar teri sawari aa jae
ajnabi lakh koi meri fasilen Dha jae
mujh ko diwar mein darwaza lagana hoga
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.