faisla
ujāle chhīn lo mujh se mujhe tārīkiyāñ de do
basīrat naqsh-e-be-ma.anī
rifāqat sāya-e-mub.ham
maiñ apne aap meñ TuuTā huā paikar
mujhe manzūr apnī zindagī se thak gayā huuñ maiñ
mirī pahchān shāyad kho ga.ī anjān rāhoñ meñ
maiñ apne zehn kī gahrā.iyoñ meñ bikhrā bikhrā muzmahil lamha
mirī āñkhoñ ne andhe ḳhvāb dikhlā.e
chamaktī ret ko dariyā kahā maiñ ne
sulagtī dhuup ko saayā kahā maiñ ne
maiñ nādāñ thā ki maiñ ne mausamoñ se apnā-pan māñgā
ye ḳhushbū to faqat ehsās hai aur kuchh nahīñ shāyad
ye sūraj ye samundar ye havā ye raushnī saarī
nahīñ mere liye kuchh bhī
koī rishta nahīñ merā kisī se bhī
aqā.ed tajrabe jhoñke havāoñ ke
har ik saaya parāyā hai
har ik ummīd jhūTī hai
maiñ tanhā hī chalā thā apne ghar se jab chalā thā maiñ
rahā huuñ umr bhar tanhā
akelā hī chalā jā.ūñgā ik lambe safar par maiñ
kisī din dekh leñge sab
na khulvāo zabāñ merī
likhī hai āñsūoñ ne dāstāñ merī
har ik kāvish ga.ī hai rā.egāñ merī
nahīñ ta.abīr koī mere ḳhvāboñ kī
nahīñ qīmat yahāñ merī kitāboñ kī
paḌhā kis ne mujhe āḳhir
likhā hai jis qadar maiñ ne
mujhe lagtā hai sab dhuñdlī lakīreñ haiñ
yahāñ ke saare dānish-var yahāñ ke saare dīda-var
sabhī ahl-e-basīrat ahl-e-dil mīnār azmat ke
merī sūrat to kyā hai naam se vāqif nahīñ koī
yahī ehsāñ karo mujh par mire sab harf jhuTlā do
mujhe gumnāmiyoñ meñ dafn kar do aur itrāo
ujale chhin lo mujh se mujhe tarikiyan de do
basirat naqsh-e-be-mani
rifaqat saya-e-mubham
main apne aap mein TuTa hua paikar
mujhe manzur apni zindagi se thak gaya hun main
meri pahchan shayad kho gai anjaan rahon mein
main apne zehn ki gahraiyon mein bikhra bikhra muzmahil lamha
meri aankhon ne andhe KHwab dikhlae
chamakti ret ko dariya kaha main ne
sulagti dhup ko saya kaha main ne
main nadan tha ki main ne mausamon se apna-pan manga
ye KHushbu to faqat ehsas hai aur kuchh nahin shayad
ye suraj ye samundar ye hawa ye raushni sari
nahin mere liye kuchh bhi
koi rishta nahin mera kisi se bhi
aqaed tajrabe jhonke hawaon ke
har ek saya paraya hai
har ek ummid jhuTi hai
main tanha hi chala tha apne ghar se jab chala tha main
raha hun umr bhar tanha
akela hi chala jaunga ek lambe safar par main
kisi din dekh lenge sab
na khulwao zaban meri
likhi hai aansuon ne dastan meri
har ek kawish gai hai raegan meri
nahin tabir koi mere KHwabon ki
nahin qimat yahan meri kitabon ki
paDha kis ne mujhe aaKHir
likha hai jis qadar main ne
mujhe lagta hai sab dhundli lakiren hain
yahan ke sare danish-war yahan ke sare dida-war
sabhi ahl-e-basirat ahl-e-dil minar azmat ke
meri surat to kya hai nam se waqif nahin koi
yahi ehsan karo mujh par mere sab harf jhuTla do
mujhe gumnamiyon mein dafn kar do aur itrao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.