bārisheñ phir zamīnoñ se nārāz haiñ
aur samundar sabhī ḳhushk haiñ
khurdurī saḳht banjar zamīnoñ meñ kyā boiye aur kyā kāTiye
aañkh kī os ke chand qatroñ se kyā in zamīnoñ ko sairāb kar pāoge
gandum o jau ke ḳhoshoñ kī ḳhushbū tumhārā muqaddar nahīñ
āsmānoñ se tum ko raqābat rahī
aur zamīnoñ se tum be-ta.alluq rahe
riiḌh kī ek haDDī pe tum ko bahut naaz thā
ye gumāñ bhī na thā
ek din be-lahū ye bhī ho jā.egī
faisle kī ghaḌī aa ga.ī kuchh karo
titliyoñ ke sunahre hare surḳh niile paroñ ke liye
aañkh kī os ke chand qatroñ se banjar zamīñ ke kisī goshe meñ
phuul phir se ugāne kī koshish karo
barishen phir zaminon se naraaz hain
aur samundar sabhi KHushk hain
khurduri saKHt banjar zaminon mein kya boiye aur kya kaTiye
aankh ki os ke chand qatron se kya in zaminon ko sairab kar paoge
gandum o jau ke KHoshon ki KHushbu tumhaara muqaddar nahin
aasmanon se tum ko raqabat rahi
aur zaminon se tum be-talluq rahe
riDh ki ek haDDi pe tum ko bahut naz tha
ye guman bhi na tha
ek din be-lahu ye bhi ho jaegi
faisle ki ghaDi aa gai kuchh karo
titliyon ke sunahre hare surKH nile paron ke liye
aankh ki os ke chand qatron se banjar zamin ke kisi goshe mein
phul phir se ugane ki koshish karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.