falsafa-e-husn-o-ishq
tū ne dastūr-e-mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
kyā ye vahshat tirī rūdād kī ġhammāz nahīñ
dil munavvar hai magar soz-e-darūñ se mahrūm
fikr zinda hai magar mā.il-e-parvāz nahīñ
husn ġhaltīda-e-dariyā-e-tahayyur kyoñ hai
sīna-e-'ishq meñ poshīda koī raaz nahīñ
yuuñ to vo jalva-gah-e-nāz se bāhar aa jaa.eñ
jazba-e-dard meñ Duubī huī āvāz nahīñ
ḳhud-farebī meñ giraftār nahīñ hai 'bismil'
kyā ye taḳhlīq barā.e nigah-e-nāz nahīñ
tu ne dastur-e-mohabbat ka uDaya hai mazaq
kya ye wahshat teri rudad ki ghammaz nahin
dil munawwar hai magar soz-e-darun se mahrum
fikr zinda hai magar mail-e-parwaz nahin
husn ghaltida-e-dariya-e-tahayyur kyon hai
sina-e-'ishq mein poshida koi raaz nahin
yun to wo jalwa-gah-e-naz se bahar aa jaen
jazba-e-dard mein Dubi hui aawaz nahin
KHud-farebi mein giraftar nahin hai 'bismil'
kya ye taKHliq barae nigah-e-naz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.