fan
ek raqqāsa thī kis kis se ishāre kartī
āñkheñ pathrā.ī adāoñ meñ tavāzun na rahā
Dagmagā.ī to sab atrāf se āvāz aa.ī
''fan ke is auj pe ik tere sivā kaun gayā''
farsh-e-marmar pe girī gir ke uThī uTh ke jhukī
ḳhushk hoñToñ pe zabāñ pher ke paanī māñgā
ok uThā.ī to tamāshā.ī sambhal kar bole
raqs kā ye bhī ik andāz hai allāh allāh
haath phaile hī rahe sil ga.ī hoñToñ se zabāñ
ek raqqās kisī samt se nāgāh baḌhā!
parda sarkā to ma.an fan ke pujārī garje
''raqs kyuuñ ḳhatm huaa? vaqt abhī baaqī thā''
ek raqqasa thi kis kis se ishaare karti
aankhen pathrai adaon mein tawazun na raha
Dagmagai to sab atraf se aawaz aai
fan ke is auj pe ek tere siwa kaun gaya
farsh-e-marmar pe giri gir ke uThi uTh ke jhuki
KHushk honTon pe zaban pher ke pani manga
ok uThai to tamashai sambhal kar bole
raqs ka ye bhi ek andaz hai allah allah
hath phaile hi rahe sil gai honTon se zaban
ek raqqas kisi samt se nagah baDha!
parda sarka to man fan ke pujari garje
raqs kyun KHatm hua? waqt abhi baqi tha
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 228)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.