fan
vo shāḳh mazbūt ho yā nāzuk
ye munhasir hai kamāl-e-fan par
ki kaise tinkoñ ko joḌnā hai
mahīn reshoñ ke tāne-bāne
se kaise dīvār joḌnī hai
kahāñ banānā hai dar kahāñ par
jagah darīche kī chhoḌnī hai
jahāñ se bād-e-sabā to aa.e
darūn-e-ḳhāna chale jo āñdhī
girāne paa.e na āshiyāna
ḳhulūs-o-uns-o-vafā kī ruī
yaqīn-o-īsār ke anāsir
jo hoñge ta.amīr meñ ye shāmil
to shāḳh-e-nāzuk pe banñe vaalā bhī
āshiyāñ pā.edār hogā
wo shaKH mazbut ho ya nazuk
ye munhasir hai kamal-e-fan par
ki kaise tinkon ko joDna hai
mahin reshon ke tane-bane
se kaise diwar joDni hai
kahan banana hai dar kahan par
jagah dariche ki chhoDni hai
jahan se baad-e-saba to aae
darun-e-KHana chale jo aandhi
girane pae na aashiyana
KHulus-o-uns-o-wafa ki rui
yaqin-o-isar ke anasir
jo honge tamir mein ye shamil
to shaKH-e-nazuk pe banne wala bhi
aashiyan paedar hoga
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.