fana ka safar
us kī ḳhvāhish kā iz.hār
ma.asūm had tak rivāyat kī bandish meñ uljhā huā thā
ki maiñ us ke hāthoñ pe mehñdī lagā.ūñ
magar shā.erī ek devī hai jis kī jalan ko
kabhī likhne vāloñ ke hāthoñ pe itnā taras hī nahīñ aa sakā hai
ki bāġhī dimāġhoñ meñ bhī aam rastoñ kī taqlīd bhartī
yā hāthoñ kī jumbish ḳhirad ke tasallut se āzād kartī
mire haath bhī zehn meñ ghūmte kuchh savāloñ ke sāñche banāne lage
us ke hāthoñ pe mehñdī se atom ke model banāne lage
aur model bhī aise jo matrūk the
jis meñ zarra bahut duur se ghūmtā jhūmtā dā.era dā.era
rafta rafta kisī markaze kī taraf gāmzan
bas tasalsul se baḌhtī huī ik kashish ke asar meñ rahe
ik yaqīnī fanā ke safar meñ rahe
sāl-hā-sāl chīzeñ badaltī ga.iiñ
vaqt ne dard ke jo bhī lyrics likhe un ko gaanā paḌā
jaane kaise magar
us ko jaanā paḌā
maiñ ne vaise to ye umr bhar sochnā hī nahīñ thā
magar shā.erī ek devī jalan
nostalgic zamānoñ kī tasvīr logic ke kuchh mas.ale
pūchhne lag ga.e haiñ
bhalā aisā jāhil kahāñ par milegā
ki jo kīmiyā paḌh ke bhī
ik ta'alluq meñ pahle to zarra bane
aur nibhāte hue
dynamics ke vo hī matrūk model chune
aur tasalsul se baḌhtī huī ik kashish ke asar meñ rahe
ik yaqīnī fanā ke safar meñ rahe
us ki KHwahish ka izhaar
masum had tak riwayat ki bandish mein uljha hua tha
ki main us ke hathon pe mehndi lagaun
magar shaeri ek dewi hai jis ki jalan ko
kabhi likhne walon ke hathon pe itna taras hi nahin aa saka hai
ki baghi dimaghon mein bhi aam raston ki taqlid bharti
ya hathon ki jumbish KHirad ke tasallut se aazad karti
mere hath bhi zehn mein ghumte kuchh sawalon ke sanche banane lage
us ke hathon pe mehndi se atom ke model banane lage
aur model bhi aise jo matruk the
jis mein zarra bahut dur se ghumta jhumta daera daera
rafta rafta kisi markaze ki taraf gamzan
bas tasalsul se baDhti hui ek kashish ke asar mein rahe
ek yaqini fana ke safar mein rahe
sal-ha-sal chizen badalti gain
waqt ne dard ke jo bhi lyrics likhe un ko gana paDa
jaane kaise magar
us ko jaana paDa
main ne waise to ye umr bhar sochna hi nahin tha
magar shaeri ek dewi jalan
nostalgic zamanon ki taswir logic ke kuchh masale
puchhne lag gae hain
bhala aisa jahil kahan par milega
ki jo kimiya paDh ke bhi
ek ta'alluq mein pahle to zarra bane
aur nibhate hue
dynamics ke wo hi matruk model chune
aur tasalsul se baDhti hui ek kashish ke asar mein rahe
ek yaqini fana ke safar mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.