fana
duniyā meñ koī shaad koī dard-nāk hai
yā ḳhush hai yā alam ke sabab sīna-chāk hai
har ek dam se jaan kā har-dam tapāk hai
nāpāk tan palīd najis yā ki paak hai
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
hai aadmī kī zaat kā us jā baḌā zuhūr
le arsh tā-ba-farsh chamaktā hai jis kā nuur
guzre hai un kī qabr pe jab vahsh aur tuyūr
ro ro yahī kahe hai har ik qabr ke huzūr
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
duniyā se jab ki ambiyā aur auliyā uThe
ajsām-e-pāk un ke isī ḳhaak meñ rahe
rūheñ haiñ ḳhuub jaan meñ rūhoñ ke haiñ maze
par jism se to ab yahī sābit huā mujhe
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak haiñ
vo shaḳhs the jo saat vilāyat ke bādshāh
hashmat meñ jin kī arsh se ūñchī thī bārgāh
marte hī un ke tan hue galiyoñ kī ḳhāk-e-rāh
ab un ke haal kī bhī yahī baat hai gavāh
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
kis kis tarah ke ho ga.e mahbūb-e-kaj-kulāh
tan jin ke misl-e-phūl the aur muñh bhī rashk-e-māh
jaatī hai un kī qabr pe jis-dam mirī nigāh
rotā huuñ jab to maiñ yahī kah kah ke dil meñ aah
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
vo gore gore tan ki jinhoñ kī thī dil meñ jaa.e
hote the maile un ke koī haath gar lagā.e
so vaise tan ko ḳhaak banā kar havā uḌaa.e
ronā mujhe to aatā hai ab kyā kahūñ maiñ haa.e
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
umdoñ ke tan ko tāñbe ke sandūq meñ dharā
muflis kā tan paḌā rahā māTī-upar paḌā
qaa.em yahāñ ye aur na sābit vo vaañ rahā
donoñ ko ḳhaak khā ga.ī yaaro kahūñ meñ kyā
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
gar ek ko hazār ruupe kā milā kafan
aur ek yuuñ paḌā rahā hai be-kas barhana-tan
kiiḌe makoḌe khā ga.e donoñ ke tan-badan
dekhā jo ham ne aah to sach hai yahī suḳhan
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
jitne jahāñ meñ naach haiñ kañgnī se tā-gehūñ
aur jitne meva-jāt haiñ tar ḳhushk gūnāgūñ
kapḌe jahāñ talak haiñ sapīda o siyah numūñ
kim-ḳhvāb taash bādila kis kis kā naam luuñ
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
jitne daraḳht dekho ho buuTe se tā-ba-jhāḌ
baḌ pīpal aañb niib chhuārā khajūr taaḌ
sab ḳhaak hoñge jab ki fanā Dālegī ukhāḌ
kiyā buuTe DheḌh paat ke kyā jhaaḌ kyā pahāḌ
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
jitnā ye ḳhaak kā hai tilismāt ban rahā
phir ḳhaak us ko hotā hai yaaro judā judā
tarkārī saag paat zahr amrit aur davā
zar siim kauḌī laal zamurrad aur in savā
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
gaḌ.h coat top rahakla teġh o kamān-o-tīr
bāġh-o-chaman mahall-o-makānāt dil-pazīr
honā hai sab ko aah isī ḳhaak meñ ḳhamīr
merī zabāñ pe ab to yahī baat hai 'nazīr'
jo ḳhaak se banā hai vo āḳhir ko ḳhaak hai
duniya mein koi shad koi dard-nak hai
ya KHush hai ya alam ke sabab sina-chaak hai
har ek dam se jaan ka har-dam tapak hai
napak tan palid najis ya ki pak hai
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
hai aadmi ki zat ka us ja baDa zuhur
le arsh ta-ba-farsh chamakta hai jis ka nur
guzre hai un ki qabr pe jab wahsh aur tuyur
ro ro yahi kahe hai har ek qabr ke huzur
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
duniya se jab ki ambiya aur auliya uThe
ajsam-e-pak un ke isi KHak mein rahe
ruhen hain KHub jaan mein ruhon ke hain maze
par jism se to ab yahi sabit hua mujhe
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hain
wo shaKHs the jo sat wilayat ke baadshah
hashmat mein jin ki arsh se unchi thi bargah
marte hi un ke tan hue galiyon ki KHak-e-rah
ab un ke haal ki bhi yahi baat hai gawah
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
kis kis tarah ke ho gae mahbub-e-kaj-kulah
tan jin ke misl-e-phul the aur munh bhi rashk-e-mah
jati hai un ki qabr pe jis-dam meri nigah
rota hun jab to main yahi kah kah ke dil mein aah
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
wo gore gore tan ki jinhon ki thi dil mein jae
hote the maile un ke koi hath gar lagae
so waise tan ko KHak bana kar hawa uDae
rona mujhe to aata hai ab kya kahun main hae
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
umdon ke tan ko tanbe ke sanduq mein dhara
muflis ka tan paDa raha maTi-upar paDa
qaem yahan ye aur na sabit wo wan raha
donon ko KHak kha gai yaro kahun mein kya
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
gar ek ko hazar rupe ka mila kafan
aur ek yun paDa raha hai be-kas barhana-tan
kiDe makoDe kha gae donon ke tan-badan
dekha jo hum ne aah to sach hai yahi suKHan
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
jitne jahan mein nach hain kangni se ta-gehun
aur jitne mewa-jat hain tar KHushk gunagun
kapDe jahan talak hain sapida o siyah numun
kim-KHwab tash baadila kis kis ka nam lun
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
jitne daraKHt dekho ho buTe se ta-ba-jhaD
baD pipal aanb nib chhuara khajur taD
sab KHak honge jab ki fana Dalegi ukhaD
kiya buTe DheDh pat ke kya jhaD kya pahaD
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
jitna ye KHak ka hai tilismat ban raha
phir KHak us ko hota hai yaro juda juda
tarkari sag pat zahr amrit aur dawa
zar sim kauDi lal zamurrad aur in sawa
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
gaDh coat top rahakla tegh o kaman-o-tir
bagh-o-chaman mahall-o-makanat dil-pazir
hona hai sab ko aah isi KHak mein KHamir
meri zaban pe ab to yahi baat hai 'nazir'
jo KHak se bana hai wo aaKHir ko KHak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.