faqiri mein
faqīrī meñ bhī ḳhush-vaqtī ke
kuchh sāmān farāham the
ḳhayāloñ ke bagūle
muztarib jazboñ ke hañgāme,
talātum bahr-e-hastī meñ
tamavvuj-e-rūh ke ban meñ,
ajab uftāñ-o-ḳhaizāñ marhale pahnā.ī shab ke,
taḌap ġham-hā-e-hijrāñ kī
laraztī aarzū dīdār-e-jānāñ kī
adam-ābād ke sahrā meñ ek zarra
ki misl-e-qatra-e-sīmāb larzīda
sadaf meñ zehn ke juuñ
ġhauhar-e-kamyāb poshīda
dil-e-sad-pāra
jū-e-ġham
laraztī kashtī-e-ehsās
jahāñ-bīnī kā dil meñ azm-e-duzdīda
faqīrī meñ yahī asbāb-e-hastī thā yahī dard-e-tah-e-jām-e-tamannā thā
yahī sāmāñ bachā lete to achchhā thā
faqīrī meñ magar ye kaun sī uftād aa.ī hai
ki sāmāñ luT gayā rāhoñ meñ kaasa dil kā ḳhālī hai
faqiri mein bhi KHush-waqti ke
kuchh saman faraham the
KHayalon ke bagule
muztarib jazbon ke hangame,
talatum bahr-e-hasti mein
tamawwuj-e-ruh ke ban mein,
ajab uftan-o-KHaizan marhale pahnai shab ke,
taDap gham-ha-e-hijran ki
larazti aarzu didar-e-jaanan ki
adam-abaad ke sahra mein ek zarra
ki misl-e-qatra-e-simab larzida
sadaf mein zehn ke jun
ghauhar-e-kamyab poshida
dil-e-sad-para
ju-e-gham
larazti kashti-e-ehsas
jahan-bini ka dil mein azm-e-duzdida
faqiri mein yahi asbab-e-hasti tha yahi dard-e-tah-e-jam-e-tamanna tha
yahi saman bacha lete to achchha tha
faqiri mein magar ye kaun si uftad aai hai
ki saman luT gaya rahon mein kasa dil ka KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.