faraghat ka KHunuk mausam
farāġhat ke ḳhunuk mausam meñ
dil kī nīm-tārīkī meñ baiThā huuñ
akele-pan kī be-ārām kursī par
maiñ be-hañgām jhūle le rahā huuñ
aur ka.ī ghanToñ se maiñ ne ik
shikan-ālūd bistar kī gavāhī oḌh rakkhī hai
kitāb-e-umr ke kuchh baab paḌh kar
thak gayā thā maiñ
abhī vahshat ke qahve se
zarā taskīn paa.ī hai
faraghat ke KHunuk mausam mein
dil ki nim-tariki mein baiTha hun
akele-pan ki be-aram kursi par
main be-hangam jhule le raha hun
aur kai ghanTon se main ne ek
shikan-alud bistar ki gawahi oDh rakkhi hai
kitab-e-umr ke kuchh bab paDh kar
thak gaya tha main
abhi wahshat ke qahwe se
zara taskin pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.